Part-9

318 52 23
                                    

When Anokhi returned, she saw the entire house decked up beautifully.

Anokhi- Itna sab hoga mere birthday pe socha nhi tha!

Shaurya- Arre tum dekho toh sahi kya kya hota hai tumhare birthday pe.

Anokhi- Theekh hai. But thanks sabko itna special banane ke liye.

Shaurya- Woh chodo wifey! Aa jao cake katte hai.

Anokhi- Mimi chalo sath mein katte?

Shaurya- Nhi. Aaj mumma ka birthday hai sirf mumma kategi. Aap chote ho isliye mumma aapke birthday pe help karti hai. But ab mumma ko katne do. Ok?

Mimi- Haan. But aapko pata hai jabse hum yahan aaye hai aise pehli baar celebrate ho rha hai. Warna kabhi cake nhi katti hai.

Shaurya- Mimi aap socho mat. Abse every year aise hi cake kata jayega.

Mimi- Yeh! Ab mumma ka birthday bhi celebrate hoga.

Shaurya- Bilkul! Chalo ab cake kato.

She cuts the cake and gives a slice to Mimi first and then Shaurya.

Shaurya- Happy Birthday! Wifey! I hope tumhara har sapna pura ho. Ye lo.
And he feeds her some cake in return.

Kitty- Kuch zyada hi civilized tareeke se cake nhi khaya jaa rha hai. Bhabhi! And they apply cake on Anokhi. And Anokhi applies cake back. And Anokhi decided to hide behind Shaurya.

Shaurya- Arre. Ab yeh kya hai. Mere piche chupna band karo. And she moves away. Arre mere hote hue koi aur cake lagakar toh dikhaye. Saying this he takes some cake and applies on her.

Anokhi- Hawww! Aap bhi bache ho kya?

Mimi- Mujhd bhi lagana hai. Mumma mujhe bhi lagana hai. Neeche aao naa pleech. Mumma!

Shaurya- Arre mumma neeche toh nhi aane wali. Tumhe hi uthana hoga.
Saying this he lifts Mimi and Mimi applies cake on Anokhi.

Mimi- Oh maa! Aap kitne tasty lag rhe hai ho. Pure chocolate cream mein. Mann kar rha hai uthake kha loon.

Anokhi- Naughty Mimi. Ab bas hua cake. Bohot cake kha liya. Dinner bhi khana hai naa tumhe. Chalo hath mooh dho lo. Fir homework kar lena jaldi. Fir dinner ke liye chalenge.

Shaurya- Ghabrao mat Mimi papa extra piece denge tumhe baad mein. Chalo ab jaldi se homework kar lo.

Mimi rushes to finish her homework.

Shaurya- Anokhi tumhara gift yeh rha?

It was a beautiful silver chain with a pendant.

Shaurya- Pehna doon.

Anokhi- Hmm. Thanks. Itna pyaara gift hai.

Shaurya- Aaj mein tum aur Mimi dinner ke liye chale.

Anokhi- Mein soch rhi thi mein aur tum chale? I mean galat mat samjhna but hume time nhi mila ek dusre ke sath bhi toh. Bas.

Shaurya- Mimi will take it well naa?

Anokhi- But I want to try. Ab Mimi badhi ho rhi hai. Mimi ke liye yeh sahi hoga shayd. But aisa nhi hai ki Mimi ko hum kahin leke nhi jaa rhe naa. Usse kal leke jayenge hum.

Shaurya- Hmm. Theekh hai.

Anokhi goes to explain this to Mimi.

Anokhi- Mimi! Aaj mumma aur papa jayenge dinner ke liye. Ghar pe aapka favorite bana hai naa. Aapko dadi khila degi. Ok? Jaye mumma, papa dinner karne? Kal phir se hum bhi dinner pe jaayenge ok. Tum, mein aur papa. Please Mimi!

Mimi starts to think.

Mimi- But mujhe toh aapke sath hi khana hai. Aap khila do naa mumma.

Anokhi- Oh! Mimi baby! Achaa hum teeno chalte hai. Ok?

Mimi- OK mumma.

Anokhi didn't have the hurt to tell Mimi no.

Shaurya- It is ok. Mein samjhta hoon. Ab chalo Mimi homework kar rhi hai tab tak ek coffee toh share kar hi sakte hai.

Anokhi- Haan. Chalo.
They share a coffee as they talk to each other about their day at work and asking random questions and discovering common interests and stumbled upon their love for books and the books they read as kids. They both recollected their favorite *Enid Blytons* (Does anyone remember something from this????).
And Anokhi would talk about "The Famous Five" books she had read. And how she loved George and that was a favorite character. Also she later realized why Dick should not have been named Dick.

Shaurya- Yup totally. And I felt Anne was so underwritten.

Anokhi- It was yaar. She was the classic phool si bacchi. Isliye I loved George.  Because Julian was the symbol of patriarchy.

Shaurya- Hmm. But uss book mein the food descriptions were on point. I mean all those sandwiches and ice creams.

Anokhi- Yup. I wanted to eat all that. But now as an adult. I hate sandwiches.
I am so glad ab mujhe aur nhi khana padega sandwiches.

Shaurya- I am glad too. You are going to get roti sabzi for lunch or chawal dal.

Anokhi- Hmm.

Shaurya- Anokhi tumhe kya kya sabzi pasand hai?

Anokhi- Sab kuch. But jab college mein thi tab typically woh jo sasti hi aur jo bannane mein asaan. But Mimi ko mushroom bohot pasand hai. Toh woh zyada banta tha ghar mein. Aur mujhe pasand tha palak ka kuch bhi.

Shaurya- Done! Toh palak mushroom sabzi ideal hai. Haan?

Anokhi- Haan.

Shaurya- Achaa chalo. Ab time ho gya hai. Hume nikalna chahiye.

They go out for dinner together and enjoy a nice meal with Mimi and then they put Mimi to bed before getting to bed themselves.

How was the update? I know it was basic. But big dhamaka is going to come soon.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now