Color coded hormones

5.1K 89 22
                                    

So Anokhi is a couple of months pregnant in this one shot.

Shaurya-Wtf. Humara room blue aur pink kyu hai.

Anokhi-Blue is for boys. Pink is for girls. So blue+pink=gender neutral.

Shaurya-Ok so? Pink tumhara favourite color toh nhi. Blue mera favorite hai. Aur pink tumhara nhi toh kiska?

Anokhi-You dumb person. It's for our baby.

Shaurya-Baby ko aane mein time hai bohot. Aur gender neutral room chahti thi toh kuch aur kar leti?

Shaurya-Yellow kar deti room ko. Naa blue aur naa pink.

Anokhi-Naa blue aur naa pink so yellow. Kya ghatiya logic hai. Yellow room kitna bakwas dikhega koi class hi nhi. Kitna generic hai. Almost aisa lagega ki color nhi decide kar paye. Ek din tha toh bas yellow utha liya.

Shaurya-Ok so grey kar deti.

Anokhi-Grey. I am not designing for a boring professor. So no grey.

Shaurya-Achaa toh animals wallpaper kar deti. Animals ke liye kindness sikhega.

Anokhi-Animals ke liye kindness? Aur bhi tareeke hai. You don't have to chapo animal stencil on wall and paint them for that. And sorry mujhe animals ke sath nhi sona. Door se bhi toh kindness ho sakta hai. Snakes ke sath nhi sona
.
Shaurya-Snake reptile hai. I am talking about giraffe, lion.

Anokhi-Hum bache nhi hai. Room mein thoda class toh hona chahiye.
Shaurya-Tum pehle decide kar lo. Tumne hi kahan ki tum humare bache ke liye kar rhi ho.

Anokhi-Nhi. Mein ek aisa room design kar rhi hoon, jisme humara bache ko bhi mind you decor pasand aaye.
Exactly bhi. Agar bhi tha toh mujhse kyu nhi pucha yeh karne se pehle. I don't like it.

Shaurya-Achaa tum woh magic theme, yaa space theme kar leti.
Anokhi-Magic theme nhi. I don't want to propogate superstition. And space theme nhi. Tumhe kaise pata usse astronaut hi banana hai. Uspe career thodi force kar sakte hai.

Shaurya-Tum seedha seedha kyu nhi keh deti tumhe blue aur pink room chahiye. Bache ko nhi.

Anokhi-Mein selfish nhi hoon.

Shaurya-Yeh kab kahan selfish ho?

Shaurya-Tumhara dimag kharab hai.

Anokhi-Topper hoon mein. Kapurthala mein thi, Siac mein thi aur IIM mein bhi thi.

Shaurya-Yeh kahan se aa gya?

Anokhi-Aapne hi kahan dimaag kharab hai mera.

Shaurya-Tumse argue karna stupid hai.

Anokhi-Toh karte kyu ho argue?

Shaurya-Mujhe shauk nhi hai. Tum kaam aur baatein hi aise karti ho.

Anokhi-Maine kya kiya?

Shaurya-Kuch nhi. So jao ab.

She takes her blanket and starts to leave.

Shaurya-Kahan jaa rhi ho?

Anokhi-Doosre room mein.

Shaurya-Kyu?

Anokhi-Jhagda hua hai naa humara.

Shaurya-Tumse hua apne bache se nhi. Toh tum nhi jaa sakti.

Anokhi-Ab pregnant hoon toh roothne ka bhi adhikar nhi. This is so unfair on me. On us pregnant women.

Shaurya-Mein kuch nhi kahoonga. Jo karna hai karo.

Anokhi-Haan wohi karungi.

She leaves.

Shaurya-Ab mujhe neend nhi aayegi. Usko miss kia Patiala campus mein jab tha socha uske sath aaj thoda time spend karunga aur woh jhagda karke bhag gyi guest room.

He twists and turns in bed doesn't get sleep. So he ultimately goes outside the guest room and sees Anokhi twisting and turning in bed too.
He knows she won't accept defeat so he decides to choose words carefully.

Shaurya-Anokhi sorry naa. Dekho mujhe tumhare bina neend nhi aati. Tumhe bohot miss kar rha hoon. Tumhare bina kuch achaa nhi lagta mujhe tumhe pata hai naa. So please mein tumhare paas Rehna chahta hoon.

Anokhi-Toh jhagdte kyu ho?

Shaurya-Kya hi karoon. Dimaag mera kharab tha. Woh chodo. Jab mein nhi tha tum theekh thi naa? Tumhe koi takleef toh nhi hui?

Anokhi-Nhi bilkul nhi. But I missed you. She cuddles with him.

Shaurya-Ab ro kyu rhi ho?

Anokhi-Ro bhi nhi sakti?

Shaurya-Arre ro sakti ho. Matlab mein tumhare aankhen mein aasoon nhi de kh sakta. Tum hasti hui pyari lagti ho.

Anokhi-Aur roti hui nhi lagti?

Shaurya-Haan lagti ho bas jab khushi ke tears ho. So please don't cry naa. Mujhe bhi rona aayega.

Anokhi-Don't copy me.

Shaurya-Ok.

Anokhi-Don't go aise door to Patiala also.

It was Anokhi who insisted he go to Patiala and not compromise on his work but he decides this not the time to tell her that.

Shaurya-Ok.

Anokhi-I love you.

Shaurya-I love you too.

Next day as he is changing while Anokhi is still asleep.

Shaurya-Room utna bhi bura nhi lagra. Usko sham ko keh dunga.

When he returns in the evening, the room is entirely grey, the walls, the curtains, the bed sheet, the paintings, the cupboards.

Shaurya-Yeh kya? Kuch mat bol Shaurya agli baar koi aisa color ho jaye room jo isse bhi zyada weird ho.

Anokhi-Kaisa hai? Room ka color pasand aaya?

Shaurya-Haan. Waise payment ho gyi?

Anokhi-Haan cash tha naa 5 lacs usse ho gyi baki tum de dena.

Shaurya-What?

Anokhi-Haan. Baki thoda hi hai. 3 lacs.

Shaurya-Ok.

In Shaurya's mind- Kuch kahoonga toh aur kitna nuksaan hoga nhi pata bas agree karna hi best hai.

Did you like this one shot? Please leave comments if you did.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now