On the suggestion of AnUgRaHa_anu. Though the take is completely mine so bashers hit me only.
This is after Sabbarwals have accepted Anokhi.
Devi-Anokhi tumhe pata hai naa kal kya hai? Jaldi uth jana.
Anokhi-Kya hai kal?
Devi-Karwa chauth hai kal.
Anokhi-Yeh pura din fasting hai naa. I mean karna zaroori hai? I mean kisiko bhi? Hum sab toh jante hai naa ki hum pyar karte hai ek doosre se.
Devi-Haan but yeh gesture hota hai.
Anokhi-Gesture.
Shaurya-Kya hua tumhe nhi rakhna?
Anokhi-Haan woh mein nhi manti. I mean pyar ko express karne ke liye yeh sab? Tum jante ho naa I love you. But tumse love karne ke liye why do I have to hurt myself. Mere nhi khane se tumhe kuch fayda hoga actually toh sochti.
Devi-Anokhi tum toh mata rani mein manti ho naa? Toh woh bhi toh practically fayda nhi karati.
Anokhi-Haan but koi bhi maa apne bachon ko bhuka thodi rakhti hai. Mata rani apne bachon ko nhi kehti agar tum fast rakhoge tabhi tumhari shradha apne bhagwan ke liye sachi hai.
Shaurya-Badi maa aap force kyu kar rhe ho? Usko nhi karna isme mujhe koi problem nhi hai.
Devi-Par Shaurya?
Shaurya-Badi maa please. Anokhi ko mein bhookha nhi dekh sakte. Aur mere wajah se woh bhooki hogi yeh mujhse bardash nhi hoga.
Devi-Achaa theekh hai. Koi baat nhi.
Anokhi-Thank you badi maa.
So next day that is Karwa Chauth night:-
Devi's relative-Aapki bahu ne toh vrat nhi rakha. Kaisi bahu hai? Aapke bete ke liye koi pyar nhi hai.
Devi-Nhi aisi baat nhi hai. Woh bas isme nhi manti.
Devi's relative-Tum toh manti ho naa. Toh usse kaho ki woh yeh sab follow kare.
Devi-Mere ghar mein koi bhi family member jo chahe kar sakta hai. But bahar wale mere ghar pe mere family members ki burai nhi kar sakte.
Devi's relative-Tum badal gyi ho. Tumhari bahu tumhe control karti hai.
Devi-Nhi. Aur naa hi mein usse control karti hoon. But lagta hai aapki bahu ko aapko control karna chahiye. Doosro ke ghar pe aakar unhi ke baare mein kuch bhi keh dene se.
Devi's relative-Chalo chalte hai. Aur kabhi nhi aayenge yahan.
Devi-Shukriya. Yeh confrontation bilkul bhi classy nhi tha. Toh bohot accha lag rha hai kyunki aaj ke baad yeh downmarket cheeze nhi hongi yaahan aap jaise doosron ke ghar ke mamlon mein taang adane wale log jo humare ghar mein nhi padharenge. I hope exit yaad hai. Warna kisiko bolun ki dikha de?
Devi's relative-Tere ghar mein aana bhi kaun chahta hai.
Devi-Haan koi nhi bas smart, intelligent business men and women aati jati rehti hai bas. Bewakoof log ko humare ghar mein interest nhi hai yeh toh humare ghar ke liye hi achaa hai. Aur kuch kehne se pehle bye.
She glares at Devi and leaves.
Anokhi hears the conversation.
Anokhi-Thanks badi maa.
Devi-Arre isme koi badi baat nhi. Meri beti ke baare mein kuch bhi kahenge toh mein thodi sunne wali hoon.
Anokhi hugs badi maa.
