Un-blinded-7

535 57 16
                                        

In the evening,

Shaurya-Ye lo soup laya hoon. Chalo pi lo.

Anokhi-Pila do.

Shaurya-Bohot zyada weakness lag rha hai?

Anokhi-Kyun aise hi nhi keh sakti.

Shaurya-Haan fundamental right hai tumhara. Chalo mein pila deta hoon.

After having fed her the soup, he places it by the side. He kisses her on the forehead.

Shaurya-Theekh se khayal rakh paa rha hoon naa?

Anokhi-Hmmm.

Shaurya-Sach?

Anokhi-Hmmm.

Shaurya-Kuch bhi chahiye ho please batana. 

Anokhi-Hmmm.

Shaurya-Anokhi I know humne utna time spend nhi kia ki hum ek doosre ko jaan sake. Ek dusre ko samjh sake. I mean shayd woh level of comfort nhi ban paya hai. But tum kuch bhi keh sakti ho mujhe. Kuch bhi. Koi bhi takleef. Koi bhi problem. Kuch bhi. Kabhi embarrassed feel mat karna. Kabhi aisa mat sochna ki Shaurya kya sochega.

Anokhi-Hmmm.

Shaurya-Tum nhi bologi toh samajh nhi paoonga.

Anokhi-Hmmm.

Shaurya- Samjh rhi ho mein kya kehne ki koshish kar rha hoon?

Anokhi-Hmmm.

Shaurya- Toh bolo ab?

Anokhi- Kya?

Shaurya-Kya takleef ho rhi hai.

Anokhi- Abhi bolna zaroori hai.

Shaurya- Toh kab bologi theekh hone ke baad.

Anokhi- Hmmm.

Shaurya- Bolo.

Devi- Arre Shaurya. Woh tired hai usse rest karne de abhi.

Shaurya- But aapne bola tha naa. Ki samjhna hoga ki usko chahiye.

Devi- Arre woh tumhe dikh nhi rha kya? Woh bohot tired hai. Filhaal bol nhi paa rhi. Aur har cheez bataiye nhi jati. Ab tu puchega pata kaise chalega. Dheere samjh jayega tu. Woh sab chod. Beta tum rest Karo.

Anokhi- Hmmm.

Shaurya- Sorry. I know tumhe samjh nhi paa rha. Sorry.

Anokhi-Nhi. Seekh jaoge. Tum koshish kar rhe ho naa. Itna kafi hai.

Shaurya kisses on Anokhi's hand. He tries to settle her on bed.

Anokhi-Baad mein. Badi maa hai.

Shaurya- Shut up! Yeh ek sau teen bukhar utar walo fir faltu logic dena. Topper se, practical ladki se shadi ki hai. Toh yeh kya hai?

Anokhi- Practical ladkiyan bado ki izzat nhi karti hai kya?

Shaurya-Achaa. Badi maa aap hi bolo.

Devi- Practical ho akalmandi toh dikhao. Chalo chup chap rest karo. 

Anokhi-Hmmm. 

She lies down. After sometime Anokhi was squirming on the bed.

Shaurya- Anokhi! Jaan kya hua?

Anokhi doesn't reply and stills herself but her body was not relaxed. It was stiff. She was holding up against the sickness.

Shaurya- I know tum so nhi rhi. Bolo! Please. Arre pati hoon tumhara. Mujhe nhi toh kisse bataogi. Arre agar tum aisa karogi toh mujhe dengue hoga naa toh mein bhi nhi bataunga.

Anokhi- Tumhe nhi hoga. Mein nhi hone dunga.

Shaurya- Mujhe lekar itna protective ho aur tumhe protect karne nhi de rhi. Ab bolo.

Anokhi- Dard ho rha hai bohot. My back and joints are hurting too much. I can't sleep.

Shaurya- Hey! I looked up. Ek juice hai woh peene se dard kam rahega and ek oil hota hai usse massage karne se pain kam hoga. Dono kharid lia maine. Lata hoon.

Devi had left and Anokhi was alone. She was crying. Shaurya entered and she hid her tears.

Shaurya- Ro rhi thi. Awwww. Idhar aao.

He hugged her carefully.  He made her drink the juice and applied the oil.

Anokhi- Shaurya mumma wali feeling  aa rhi hai. I mean tum mera waise hi dhyaan rakh rhe ho.

Shaurya- Sach?

Anokhi- Hmmm.

Shaurya- Good. Toh tum mujhe sab batana. Kuch bhi takleef ho toh please batana.

Devi- Aur mujhe bhi. Yeh kadha laying hoon. Pilo.

Anokhi- Thank you mera itna khayal rakhne ke liye. Ghar jaise.

Devi- Ghar hi hai tumhara. Ghar jaise se kya matlab hai?

Anokhi- Ghar?

Devi- I know maine tumhara swagat theekh se nhi kia. But yeh ghar hai tumhara. Jahan tum waisi reh sakti ho jaise apne ghar pe ho. Sab kuch same hoga. Especially jab tum beemar ho humara ghar tumhare liye tumhare ghar se better hona chahiye. Koi kami nhi chahiye. Koi laparwahi nhi. Shaurya dhyaan rakhna.

Shaurya- Badi maa.

Devi- Haan ek zaroori baat. Aastha shehar aayi thi ek kaam ke liye. Maine usko ghar bulaya hai. Ab Aastha ko milkar  Anokhi aur jaldi theekh ho jayegi.

Anokhi- Aapne mere liye!

Devi- Arre tujhe jaldi theekh hona hai. Salad nhi chila jaega. Pyaz katne se aankhon se aansoon nikalte hai. Aur Devi roti nhi rulati hai.

Anokhi- Ji mein aapko salad banquet dungi theekh hone ke baad.

Devi- Haan. But sun lo kitchen mein no entry hai tumhari ek mahine tak. Girke behosh ho gyi toh. Mere bechare bete ko uthana padega.

Devi was indirectly showing love.

Anokhi- Itni moti hoon mein?

Devi- Nhi. Beta kamzor hai mera. Tumse zyada behosh hota hai yeh. Mr. Behosh Sabbarwaal. Soch rhi hoon tumhare sath usko bhi horlicks doon.

Shaurya- Badi maa!

Devi- Chalo bohot baatein ho gyi. Ab rest.

The days slowly pass by. Anokhi gets closer to Devi. This illness ties the family together. Anokhi and Shaurya had found a new sense of comfort. Anokhi would be ok to crib or express pain or show weakness in front of him. He would understand her unsaid thoughts and try his best to help her heal. This one incident which was very painful and trying brought them closer. It made them a unit, a team. Everything irreversibly and beautifully changed forever.

I know the ending that is this update was not that good but I guess I ran out with ideas. Also I struggled with how to close it. Nevertheless hope you enjoyed. Sorry everyone.  You can drop in comments what is the next short story you want me to write.

I have thought of another exciting subject. Gonna break a new stereotype soon. So hope you enjoy that also. Any ideas of what stereotype I will break next? Let's see if anyone guesses I right. Or atleast tell me what stereotype you want me to break.




Shakhi shortsWhere stories live. Discover now