You too?

534 56 20
                                    

This is after the Goa confession. Here Babli doesn't come in between.

After a deep drawn kiss, Shaurya's eyes seemed to pop a question. Nevertheless his hands started to feel her back. And so did Anokhi's hands meander around. Just as he was about to unhook her...

Anokhi- PS. Ek baat hai.

Shaurya- Kya? I am sorry you didn't want it? I thought it was a yes.

Anokhi- No, I mean I never going to want more than passionate kisses and your hands over me. I don't want to go beyond that. I am asexual.

Shaurya- What!

Anokhi- Hmmm. It's ok. I know aapko aise partner chahiye jo compatible ho. I really love you and I am not going to take my love back but I understand.

Shaurya- Yes I deserve compatibility and finally mein pretend karna chod sakta hoon.

Anokhi- You too?

Shaurya- Hmmm. Kisses and touching only.

Anokhi- Hmmm.

Shaurya- Anokhi tum mujhse bhi zyada bahadur ho. Mujh mein himmat nhi thi sach batane ki.  Mujhe laga mujhe koi nhi milne wala. I mean I am going to stay single.

Anokhi- Hmmm. Same.

Shaurya- I was so relieved in some ways when Shagun left. I was tired of pretending. I hated it. Usko nhi pata tha. I don't know shadi ke baad kya karta. She used to try everything in the book to get close and I had to think about all kinds of bahane to keep her away. And sometimes I had to get physical with her. Haan yeh sach hai I left her for PhD. But yeh bhi sach hai somewhere I was getting tired of this lie I was living. I was tired of making this compromise to be loved. I don't know....

Anokhi- Hmm. Jhoot bolna bhi asaan kaha. Mujhe toh sochke hi darr lagta hai. Pata nhi kaise kar lete the aap.
To live a lie everyday of your life is hard.

Shaurya- Hmmm. Kya hum hath pakad sakte hai. Aaj tak maine kisika hath nhi pakda jisko mera sach pata ho.

Anokhi- Hmmm. Maine bhi nhi. Kitna perfect hai yeh sab.

Shaurya- Haan. Kismat wale hi hote hai jo kisi aise se pyar karte hai jisse unka orientation compatible ho.

Anokhi- Ever thought of coming out? I mean you are Sabbarwaal. Tumhari family educated hai.

Shaurya- Educated and regressive hai. Mujhe laga tha bataunga but ek film dekh rhe the bachpan mein jisme ek character gay tha. Bade papa aur badi maa ka reaction dekhkar samjh gya ki kuch cheeze chupani hi behtar hai.

Anokhi- Hmm. Mere ghar pe padhai ke liye hi itni rok tok hai iss baat ko toh bhul hi jao.

Shaurya- Hmmm. Samjh sakta hoon. 

Anokhi- Ab chale andar bahar thand nhi lag rhi hai tumhe?

Shaurya- Chalte hai.

Leap----
(Devi is evil here even after their marriage and stays evil.)

After Anokhi gets married to Shaurya the Sabbarwaals were behind the couple to concieve.

Devi- Anokhi tum kisi acche doctor ko dikhao. Agar tum infertile ho toh treatment ke aaj kal bohot saare options hai. IVF ke khilaf nhi hai.

Anokhi- Badi maa. Mujhe nhi jana.

Devi- Kyu? Shaurya isse lekar jao.

Anokhi- Badi maa please!

Devi- Treatment nhi lene se kaise hoga.

Anokhi- Mujhe nhi chahiye bacha.

Devi- Kya? Shaurya tumne uski baat sunni? Yeh kya bol rhi hai?

Shaurya- Ki hum dono ko parents nhi banna. Hum theekh hai.

Devi- Iss ladki ne tumhara dimaag kharab kia hai. Arre ek age tak hi pregnancy acchi hoti hai. Baad mein regret hoga. Abhi karlo.

Anokhi- Nhi karna. Please! Yeh Mere aur Shaurya ka faisla hai.

Shaurya- Ji Anokhi sahi keh rhi hai.

Devi- Tum nhi chahte bachon ke sath khelna?

Shaurya- Chahta hoob but aise nhi.

Devi- Toh kaise?

Shaurya- Adoption.

Devi- Iss Anokhi ko nhi banna hoga maa. Maa banana iss duniya ka sabse bada sukh hota hai. Aur tumhe maa nhi banana?

Anokhi- Mein adopt karungi. Waise bhi maa ban sakte hai.

Devi- Ye nhi chalega. Aisi bahu milegi socha nhi tha! Zyada padh likhkar yehi hota hai.

Anokhi- Bas kijiye. Meri padhai ke baare mein kuch mat kahiye.

Devi- Kuch nhi kahan aaj tak. Ab tum ek bacha nhi de sakti.

Anokhi- Nhi.

Devi- Kyu?

Anokhi- Kyuki mein asexual hoon! Mein aur Shaurya waise kareeb nhi aa sakte.

Devi- Kya! Yeh kaisi shadi hai. Shaurya beta! Tune pehle kyu nhi bataya. Divorce karwa dete.

Shaurya- Kyunki mein bhi waisa hi hoon.

Devi- Tu waisa nhi ho sakta!

Shaurya- Maa mein hoon.

Devi- Iss Anokhi ne dinaag kharab kia hoga tumhara.

Shaurya- Nhi maa. Shagun ke sath bhi aise hi hua.

Devi- Arre koi aur ladki ke sath try karta.

Shaurya- Maa. Yeh khana nhi hai. Jo restaurant badal doon pasand nhi aaya toh. Aur agar hai bhi toh issi restaurant jiska naam hai Anokhi Bhalla wahi ka pasand hai mujhe. Agar woh naa ho toh bhuka reh loonga but kisi aur ladki ke baare mein bhi nhi sochta.

Devi- Shaurya aise apni zindagi mat barbaad kar.

Shaurya- Barbaad? Issike sath toh khush hoon mein!

Devi- Shaurya tujhe meri kasam usse chod de.

Shaurya- Nhi! Nhi! Kabhi nhi. Pyaar karta hoon.

Devi- Toh yeh kaisa hai pyaar jahan pyaar hai but bacha nhi.

Shaurya- Shaurya aur Anokhi ka pyaar. Aur agar aapko nhi samjh mein aata toh koi baat nhi.

Devi- Shaurya! Achaa theekh hai.

Over the next few days Devi was trying to see if she could  "convert" Anokhi by making Anokhi watch through movies about mothers and child birth. Anokhi hated it. But she had to stay. Explicit magazines would reach Shaurya's room by some miracle. One day when Shaurya was not there.

Devi- Anokhi tumhe maa kyu nhi banna hai?

Anokhi- Mein thak gyi hoon. Please mujhe nhi karna yeh sab.

Devi- Anokhi! Tumhe naa sahi parwarish hi nhi mili.

Shaurya- Bas! Meri parwarish bhi galat thi kya? Ki mein aisa hoon...  Shayd hogi. Thank you badi maa. Thank you. You know what Aastha maa se baat ki maine unhe aisa nhi laga. Woh mujhe aur Anokhi ko accept karti hai. Jab aap Anokhi ko accept nhi karte usse badalne ke liye aise update ho aap mujhe bhi hurt karte ho. Jaise mein bohot bura hoon. But ab bohot hua. Mein nhi reh sakta iss negativity mein. Anokhi chalo.

Anokhi- Thank god. Tumne yeh decision lia. Iss decision se tum finally khush rahoge.

Shaurya- Anokhi thank you. Mujhe bina kuch kahe bhi tumne strength dia ki mein apni khushi aur apni identity chun sakoon. Rather than woh beta jo yeh chahte hai.

Anokhi- Shaurya yeh tumhara pyaar hai. Jo step tum apne liye le nhi paa rhe the woh tumne mere liye liya. I am so proud of you.

Shaurya- Me too. I am proud of us.
I am finally out of the closet and I won't go in. Whew! Feels nice.

Anokhi- Me too! Now packing kare?

Shaurya- Haan. Chalo.

How was it? Wanted to talk about asexuality. Thanks a lot Black_Hat52 for encouraging me to write this plot. Hope you people enjoyed. This wasn't a very fun update but issue driven so apologies. But no way apologising for the subject itself.
Please do comment.


Shakhi shortsWhere stories live. Discover now