Part- 29

328 57 22
                                    

Anokhi- Huh! Mimi. Mimi shona. Mimi shona rote nhi hai rashes theekh ho jayenge. Mumma hai naa! Mimi shona mera. Arre mera shona jalebi.

Shaurya-Anokhi! Mimi theekh hai.

Anokhi- Shona Mimi theekh hai?

Shaurya- Haan bilkuk theekh hai.

Anokhi- Huh. Hmmm. Ok.

And she turns towards the other side.

Shaurya- Arre shona Mimi toh theekh hai but shona Anu ka kya mumma? Mera shona Anu kab theekh ho jayegi. Please shona Anokhi. Theekh ho jao.

Anokhi- Hmmm. Haan.

He keeps patting her head that was sweaty and he used cold water presses on it.

Shaurya- Badi maa isse kuch kaho naa isse ki yeh uth jaye. Anu I promise ek minute ke liye bhi nhi jaunga jab tum theekh naa ho.

Devi- Tujhe iske family ke baare mein pata hai toh bula lenge. Dekh naa bachi beemar hai zaroor aayenge.

Shaurya- Pata nhi but forms mein ho sakta hai. College wale forms.
Dekhta hoon. Peon ko dhundne bolunga. Anokhi ke past ke baare mein mujhe bhi zyada nhi pata. Aur uss baat ka mujhe koi also nhi. Bas iss baat ka dukh hai ki agar pata hota toh shayd uski help kar pata. Khair abhi inn sab baaton mein kuch bhi nhi rakha hai. Anu bas theekh ho jaye bas.

Devi- Ho jayegi bacha. Tu bas uske paas hi rehna. Woh theekh ho jayegi.   Maine doctor ko phone kia tha woh pohonch hi rahenge honge.

Shaurya- Hmm. Meri Anu ko theekh kar do bas. Hum bas ek dusre ko janne hi lage the.

Devi- Toh usse aur janne ka, uski care karne ka sahi mauka hai naa. Pyaar ka yeh bhi toh ek alag izhar hai naa...

Shaurya- Izhar aisa jisme Anu ko takleef ho mujhe manzoor nhi.

Devi- Janti hoon bache. Lo doctor saab aa gye. Aaiye.

The doctor checks her.

Doctor- Dekhiye. Aap kitne laparwah hai. Unke rashes infected hai aur aapko pata bhi nhi hai. You should take care of rashes especially iss samay. I mean as a husband you should have taken care. Ab infection ke wajah se yeh itni beemar ho gyi. Rashes ko continuously monitor karna kitna important hai Mr.Sabbarwaal. Agar woh nhi rakh payi khud ka dhyaan toh aapko rakhna chahiye tha.

Shaurya- Yes doctor. Sorry.

Devi- Aap galat...

Shaurya- Maa chodiye naa aap ointment ka dhyaan rakh lijiye uska theekh hai?

Doctor- Maine yeh expect nhi kia tha. Ki aap apni wife ki care ko aise delegate karenge apni maa ko.

Shaurya- Ji doctor. Wifey ke liye woh hi better hoga. Bas.

Anokhi- Doctor. Humari shadi ko zyada din nhi hue hai so woh bas mujhe uncomfortable nhi karna chahte the.

Doctor- Sorry Mr.Sabbarwaal mein samjh nhi payi. Sorry. Aur maine kya kya keh diya. Please sorry.

Shaurya- Arre aapki wajah se toh wifey theekh hogi. Aapse kaise maafi loon. Wifey! Tumhe hosh aa gya.

He rushes to be by her side.

Shaurya- Dekha wifey. Kitna rulaya aapne mujhe. Haan. Aisa koi karta hai. Hmmm. Ab badi maa ko bata dena agar tumhe koi takleef ho toh agar mujhse naa keh pao.

Anokhi- Aisi baat nhi hai. Bas Mimi ka hi soch rhi thi.

Shaurya- Aur mein tum dono ka. Ok? Ab rest karlo. Badi maa ointment laga degi. Fir Mimi ko bhej dunga.

Anokhi- Nhi. Shaurya mein kar lungi. I mean tum chahe toh help kar sakte ho meri.

Shaurya- Are you sure? Tumpar koi pressure nhi hai ki situation ke hisab se karna hi hai. Anu! Mein toh yhi hoon.

Anokhi- Oh! Meri help. Awkward lag rha hai tumhe. Achaa. Mein toh bas. Koi baat nhi badi maa kar dijiye.

Shaurya- Anu tum chahti ho ki mein. Oh. Mein tumhari. Anu. Mein toh bas believe nhi kar paa rha.

Devi- Ab bol diya usne apne mooh se ab kar do uski help. Aur kuch chahiye hoga toh mein lati hoon. Anokhi tumhare liye kaunsa soup laoon? Hmmm.

Anokhi- Maa. I mean maa keh sakti hoon?

Devi- Arre. Yeh bhi koi baat hui?

Anokhi- Mujhe naa sweet corn soup khane ka bohot mann hai. But naa utna garam garam mein nhi kha pati. Thodasa thanda karke agar ho sake. Please.

Devi- Zaroor. Sweet corn soup bana doongi. But uske sath kuch aur laoongi aur khana padega. Theekh hai. Maa kahan hai ab maa toh kahegi hi naa ki naa ki khana hai acchese.

Anokhi- Hmmm. Mein toh Mimi ke piche humesha rehti hoon.

Devi- Hmmm. Aur tumhare piche mein hoon naa. Ab chalo, chalo Shaurya ointment laga dega tum rest karlo. Aur mein garama garam yaa thoda thanda garam keh lo. Soup lati hoon. Theekh hai?

Anokhi- Yes maa.

Shaurya takes the ointment out and after gently danbing the rashes with wet cotton, applies the ointment.

Anokhi would wince and Shaurya would comfort her. But at one point she had tears in her eyes.

Shaurya- Anu zyada dard ho rha hai? I think tumhe dusre painkiller ki zaroorat hai! Doctor se puch leta hoon.

Anokhi- Nhi bas tumhara care dekhkar emotional ho gyi.

Shaurya- Sach?

Anokhi- Nhi. Kafi dard bhi ho rha hai. Aur ab mein tumse yeh sab share kar sakti hoon.

Shaurya- Off course Anu. I know tumhe pain ho rha hai. But ab ointment laga dia theekh ho jayega. Mein tumhe kissey deta but sahi nhi hoga hygiene ke taraf se. But haan. Tum jaldi theekh ho jao. Mera shona. Tumhari toh ek hi shona hai. Meri do hai. Tum aur Mimi. Aur mere dono shona jaldi se theekh ho jayenge. Achaa mein ispe thodasa blow kar deta hoon. Comfort lagega I hope. He takes her hand and blows on some of the rashes which makes her comfortable. She tells in drowsy voice- Thanks Shaurya. Aise hi raho. Tum care karna nhi chodoge naa? Kabhi bhi?

Shaurya- Bilkul nhi. Humesha karunga.

Anokhi- Agar mein pregnant ho gyi fir bhi nhi care karna chodoge?

Shaurya- Arre! Yeh sab tumhare dimag mein jisne daala naa usse toh dekh lunga mein. Arre tum pregnant ho jao tabhi pyraar karunga. Utna hi jitna aaj karta hoon. Chahe tum budhi ho jao fir bhi tumse pyaar karunga. Chahe tum kamzor ho jao yaa aur strong bano. Humesha tumhari care karunga. Woh cheez hi toh mujhe sukoon deti hai. Tum bas theekh rho. Bas aur kuch nhi chahiye. Bas.

Anokhi- Thanks Shaurya. Ab mein thodi der so jati hoon. Soup aayega toh utha dena.

Shaurya- Hmmm. So jao. Aur itna sa bhi pain ho toh bata dena mujhe. Please. Please Anu!

Anokhi- OK.

How was it? Do comment! Please. I have witnessed a decrease in comments. If you don't like this story I will discontinue and take break or start something else.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now