Part-30

343 57 30
                                    

After few days Anokhi had recovered and so had Mimi.

Anokhi- Mein soch rhi thi ek chotasa surprise doon Shaurya ko. Uske ke liye kya banaoon aaj? Bhindi? Paneer yaa fish yaa Thai red curry.

Shaurya- Awww wifey! Tum theekh ho gyi bas hai mere liye. Abhi theekh hui ho. Khudko aise strain mat karo Anu.

Anokhi- Arre abhi bilkul theekh hoon. Waise tumhe pata kaise chala ki mein tumhare liye lunch bana rhi hoon.

Shaurya- Bas samjhne laga hoon tumhe.

Anokhi- Hmmm. Woh tum kabse samjhte the. Achaa aaj shaam ko kahin bahar chale?

Shaurya- Haan! Aur fir Mimi hi kahegi ki Anu maa aur ladoo akele akele ghumne jate hai.

Anokhi- Arre mein toh Mimi ke sath jaane ki hi baat kar rhi thi.

Shaurya- Oh! Achaa theekh hai.  It's ok.

Anokhi- Arre mooh mat latkao. Mein hum dono ki hi baat kar rhi thi. Woh aaj naa Mimi apne friend ke ghar jaa rhi hai uske birthday ke liye. Tab tak hum bahar jaa sakte hai. Ek coffee date pe.

Shaurya- I so missed our choti choti dates. But ab tumhe nhi lagta kuch aur steps aage lene ka time aa gya hai?

Anokhi- Haan? Kaunse steps. I mean mein samjhi nhi.

Shaurya- Arre wifey woh steps ki nhi baat kar rha. Mein toh yeh soch rha tha ki kyu naa ek thodasa lamba date kare? I mean ek din chutti lekar kahin thoda ghumke aaye?

Anokhi- Ek din mein kahan se aayenge. Aur woh bhi Mimi ke school se wapas aane ke pehle.

Shaurya- City mein ek achaa resort hai. Wahan se ghum ke aayenge. Jaldi wapas aa jayenge. Shaam ko sath baje tak.

Anokhi- Hmmm. Kal chale?

Shaurya- Haan. I am so, so excited. Yes! Yes!

Anokhi- Arre chilana band karo. Control karo.

Shaurya- Arre tum door hoti ho toh control nhi hota. Paas hota toh aur control nhi hota.
He just back hugs her tightly from behind.

Anokhi- Pata hai mujhe Shaurya. But mujhe aise tumhare paas toh sirf sukoon milta hai. I feel the most comfortable around you. You feel like an extension to me. And I want to get closer. I want to be my silly self with you. The silly self that I lost to him.

Shaurya- Oh! You are going to be sillier I promise. Because I promise mein iss duniya ka sabse lame insaan hoon. I mean you have to be really silly to match upto me.

Anokhi- Achaa! Give an example.

Shaurya- Huh! Sochne do. Ok soch lia.

And he sits on his knees.

Kuch naa kaho.... hmmm. Kuch bhi naa kaho. And he starts to sing.

Anokhi- Huh! Shaurya. Subah subah tumhara gana? Oh God!

Shaurya- Ab tumhari baari oo se.

Anokhi- Kya?

Shaurya- Tumhi ne kaha prove it ki mein silly hoon so bas antakshari khel rha hoon apni wifey ke sath.

Anokhi- Tumhara idea of silly kya hai bhi Anokha hai.

Shaurya- Mera toh sab Anokha hai. Isliye meri patni Anokhi hai.

Anokhi- What a lame line! I give up. But sweet tha.

Shaurya- Awww! Sach. Wifey is blushing, my heart is crushing.

Anokhi- Hmm. But ab noise is too much, wifey also hushing, warna badi maa will be bashing, because Shaurya is too muching! Aisa koi word hai toh nhi but wifey is gushing toh word nhi soojh rha.

Shaurya- Chalega naa. Tum chup bhi rho tab bhi mere dil mein shor toh karti ho.

Anokhi- Oh God! Ab 24×7 flirt karenge aap? Pyaar jo ho gya aapko humse!

Shaurya- Shayd hone laga hai aapse pyaar, ab bas hai intezaar, mann mein khwaab hai hazaar, kaise karoon mein inkrar.

Anokhi- Mere shayaar pati, aap mujhe red curry banane doge?

Shaurya- Red curry se kya lena dena jo tum ho meri, toh hum hai merry.

Anokhi continues to blush.

Devi- Aur breakfast mein badi maa khayegi strawberry.

Anokhi- Badi maa. Bas Shaurya ka lunch bana rhi thi.

Devi- Haan. Haan. Banao. Banao. Tum khana pakaogi, isse pehle mera beta paka dalega tumhe.

Anokhi- Arre mujhe toh yeh sab pasand hai. Mujhe achaa lagta hai. Finally kitchen mein company toh hai. Warna toh..... Khair mein bhi naa kaunsi baatein lekar baith gyi. Mujhe Shaurya ki yeh lame baatein bohot bohot cute lagti hai. Aapka beta bohot hi pyaara hai!

Shaurya- Awww wifey! Aur abse tum kabhi akeli nhi rahogi. Mein hoon humesha company dene ke liye. Aur mujhe bhi tumse kuch recipes sikhna hai, kuch sikhana hai. Bada maza aayega, tumhare sath cooking mein.

Anokhi- Shaurya! Sach mein khana banoge mere sath.

Shaurya- Aur nhi toh kya wifey!

Devi- Waise toh Shaurya achaa khana banata hai but uska mann ab kahan lagega khana banane mein, tum jo ho ab. Agar kabhi bhi khana banane mein company yaa help chahiye toh mujhe bula lena. Shaurya toh sirf baatein karne ke liye hai.

Shaurya- Achaa idea hai. Aap khana banao. Mein aur wifey baatein karenge. Aur wifey toh keh rhi thi usko kuch aur steps.....

Anokhi- Shut up! Maine aisa kab kahan.

Devi- Achaa. Yeh sab steps tu hi soch sakta hai. Tang mat kar aur sabzi karne mein help kar uski.

Shaurya and Anokhi start to chop vegetables....

To be cont'd.

I am very, very busy. So updates will be short. But do comment and support. Warna Mimi gussa ho jayegi.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now