Toh kya hua usse?-2

638 76 79
                                    

Received unprecedented love for the first part. So thought why not put a second part out there.

So after a couple of hours.....

Reema knocks the door.

Shaurya adjusts Anokhi on the bed and goes and opens the door.

Reema-Shaurya sir. Anokhi ke liye khana layi thi.

Shaurya-Yeh khana hai? Yeh toh soup hai aur dal, chawal and dahi.

Reema-Usse bhook nhi hogi. Light khane ka mann hoga. Yeh bhi khayegi yaa nhi dekhna padega.

Shaurya-Aise kaise chalega? Pehle hi blood loss ke wajah se weak hogi. Bhagwan ji aap agar exist karte ho toh please Anokhi ke periods ko jaldi khatam karo naa matlab kam pain ke sath.

Reema-Shaurya sir aap naa. Itna mat stress lo.

Shaurya-Reema mein soch rha tha ki usko dinner ke baad kuch aisa doon jisme iron content high ho. Beetroot juice yaa dates kaisa rahega?

Reema-Shaurya sir overthinking mat karo. Periods normal hota hai. Haan agar usse zyada beemar lage toh doctor ko dikha denge.

Shaurya-Waise Reema pehle bhi hua hoga naa Anokhi ke sath? Woh theekh toh thi naa tab.

Reema-Haan in fact pehle humne iss baat ko kabhi discuss nhi kia. So I think theekh hogi.

Shaurya-Achaa. Waise Reema ek baat puchoon tumhare sath bhi toh yeh hota hoga naa? Tumhara khayal kaun rakhta hai.

Reema-Ghar pe maa. Yahan pe I manage. Aadat ho gyi hai seventh standard se yeh hota hai.

Shaurya-Achaa but next time se agar kabhi bhi zaroorat pade toh mein Anokhi ka boyfriend I mean tum samjhti ho but Anokhi tumhari best friend hai so tum mujhe bula sakti ho.

Reema-Achaa. Aap naa pagal ho gye ho. Aap baitho. Take deep breaths and stop panicking.

Shaurya-Hmm.

He then tries to wake up Anokhi.

Shaurya-Jaan! Utho. Thoda kha lo fir so jana.

Anokhi-Hmm. Sone do naa. Bhook nhi.

Shaurya-Please naa. Mere liye.

Anokhi-Hmmm. She wakes up slowly.

Shaurya-Chalo mein khila deta hoon.

He starts feeding her.

Anokhi-Thanks PS. Abhi aapko jana chahiye. Aapke ghar wale.

Shaurya-Nhi aayenge. Unko call karke kahan hai dost ke ghar pe hoon. Aur dost ko bhi situation explain kar diya hai. No loopholes this time.

Anokhi-But PS mein khayal rakh loongi apna. Reema bhi hai.

Shaurya-Anokhi tumhe aise chodke nhi jane wala.

Anokhi-Toh har mahine teen din mere hostel room mein hi pade rahoge? I am sorry PS. Mera woh matlab nhi tha.

Shaurya-I know jaan. But mein har mahine tumhara khayal rakhne mein kaunsi badi baat hai. Tum isse har mahine guzarti hona. Toh mein bhi khayal har mahine hi rakhunga naa.

Anokhi-PS. I love you.

She realises what she just said.

Shaurya-Jaan mein bhi.

Anokhi-I know. Oh mein bhul hi gyi. Chalo mujhe washroom jana hai.

She gets up and notices there is a spot on the bed. She looks embarrassed. (The writer doesn't glorify embarrassment but is stating reality)

Anokhi-PS. Mujhe dhyaan rakhna chahiye tha. Mein change kar deti hoon isse.

Shaurya-Anokhi relax. Khoon hi toh hai. Mujhe toh tumhari fikar hai. Tum baitho. Mein kar doonga.

Anokhi-Aap?

Shaurya-Anokhi relax. Jab tak tum washroom se aati ho mein kar doonga.

He changes the sheet.

Anokhi goes and lies on the bed.

Anokhi-PS sheet ko bucket mein dal do mein dekh loongi kal.

Shaurya-Hmm.

She hears the water.

Anokhi-PS kya kar rehe ho?

Shaurya-Chup rho. Abhi maine dhokar nhi rakha toh kal subah baithogi dhone. Zaroorat nhi hai. Bas rest karo.

Anokhi-PS please.

Shaurya-Anokhi! Ssshhh. In fact aur bhi kuch dhona hai toh de dena. Mein kar dunga. Don't feel embarrassed.

Anokhi-But hum dono ne toh date karna start bhi nhi kiya. First date se pehle hi yeh sab kar rhe ho aap mere liye.

Shaurya-Anokhi pyaar karta hoon tumse. And date or no date. Agar tum mujhe reject bhi kar deti yeh sab karta tumhare liye kyunki tumhe pain mein nhi dekh sakta.

Anokhi-Shaurya I love you. Mujhe kuch smajh nhi aa rha kya kahoon.

Shaurya-Kuch nhi. Rest karo chup chap. Tumhare phone mein Spotify app hai uspe playlist bana diya hai acche, calming gani ka sun lo. Tab tak mein kapde dhoke aata hoon.

Anokhi-Hmmm. I love you.

Shaurya-Me too. Ab chup sone ki koshish karo.

She goes to sleep. And he is sitting beside her. Next day morning she wakes up to see Shaurya sitting on chair. He stirs.

Shaurya-Anokhi theekh toh ho naa? Dard hai? Ab mujhe lagta hai tum dawai le hi lo. Aise nhi dekh sakta. Beech raat mein tum so nhi payi dekha maine.

Anokhi-Mein abhi theekh hoon Shaurya. And tum aise kyu soye. Mein thoda sarak jati and pillow boundary bana deti yaa phir zameen pe so jati.

Shaurya-Zameen pe. Iss haal mein no way. Mera bas chale toh hostel ke beds badal doon. And agar mera hath wath lag jata tumhare pait mein aur dard ho jata tumhe toh?

Anokhi-Shaurya mein theekh hoon. Relax. And tum ghar jao rest karo. Ab waise bhi mein ready hoke college ke liye niklungi.

Shaurya-Pagal ho chup chap rest karo.

Anokhi-Jana hi padega. Zyada bunk nhi kar sakti. Attendance affect hoga.

Shaurya-Haan. Toh mein policy badal dunga. This is unfair.

Anokhi-Hmm kar dena. Sabhi ladkiyan puja karengi tumhari.
But abhi toh rule hai naa 75% attendance ka. Toh jana hoga. Agle mahine dard aur zyada hua toh? Toh aaj attend kar leti hoon.

Shaurya-Isse bhi zyada dard possible hai?

Anokhi-Hmmm. But tum mat daro. Sab theekh hai. Ab toh tum sath hona Shaurya. I mean PS. Shaurya woh nikal gya. Kal se bohot apnapan sa laga. Jaise aapne khayal rakha.

Shaurya-Shaurya hi bulao naa. Mujhe bhi apnapan sa lagta hai. Thanks for trusting me Anokhi. I know ladkiyon ke liye ladko se yeh sab share karna difficult hota hai. Kya kare ab kuch ladko ki soch hi aisi hoti hai. So thanks.

Anokhi-Apne ho naa so thanks mat kehna.

Shaurya-Theekh hai? Ab kya help karun bolo.

Anokhi-Kuch nhi chahiye hoga toh bol dungi. Jao ab mein ready hoke aati hoon college.

Shaurya-Kuch hoga toh call karna.

Anokhi-Hmmm. Aur class pe dhyaan rakhna Proffesor sahab.

Shaurya- Dont call me that again and Koshish karunga.

May do a third part. Does anyone want a third point? I hope log padhke disappoint nhi ho gye hai. Agar boring laga ho toh maaf kar dena please. Sorry guys. Please do comment about what you liked and hated about this update.





Shakhi shortsWhere stories live. Discover now