Part- 46

334 63 26
                                    

It was a couple of weeks later that they received the news as a happy shock!

Shaurya- Anu! Kya hua hai? Tumhe job pe nhi jaana hai?

Anokhi- Hmm thodi der mein niklumgi.  Tum nikal jao. Shayd ek ghante mein nikloongi.

Shaurya- Achaa theekh hai. Chalo aaj bus stop pe phir Mimi ko mein chod dunga. Tum aaram se jao office.

Anokhi- Thanks. Shaurya!!!

That evening when Shaurya comes home he finds Anokhi was pacing about the room.

Shaurya- Anu! Kya hua hai? Pareshan lag rhi ho.

Anokhi- Nhi toh. Mein toh actually bohot excited hoon. Shaurya finally mein pregnant hoon. I mean Shaurya it happened! Finally.  Mein bohot bohot khush hoon. Tum mujhe dher Sara pyaar karoge naa?

Shaurya- Woh toh waise bhi karta hoon mein. Kya nhi karta tumse pyaar?

Anokhi- Haan. Par. Mein bhi naa kitni silly hoon. Chodo!

Shaurya- Bolo toh kya baat hai!

Anokhi- Shaurya mein special hoon naa.

Shaurya- Haan kyu? Anu! Sorry naa. Beech mein ek point aaya tha jab maine tumhe special feel karwana chod dia.

Anokhi- Hmm. Shaurya par mein kya karoon. Tum special ho aur mein special sirf tab feel karti hoon jab tum karwate ho warna mein toh mamooli si ladki hoon jo 9 to 5 job karti hai aur apni beti se aur pati se pyaar karti hai.

Shaurya- Mamooli? Mamooli ho tum? Ek ladki jo ek aise decision ko pure dil se nibhati aayi hai jab uss decision ko leni ki wajah tak uske life mein nhi rhi. Jisse life mein apne decisions ko own karna aata hai. Jo raaste par chalna nhi chodti chahe aagey kuch dikhey yaa nhi. Mamooli? Ek ladki jo apne sapno ko peeche chod chuki hai apni beti ke liye mamooli nhi ho sakti. Ek ladki jo pyaar karne ki himat rakhti hai jab uska dil tut chuka hai mamooli nhi ho sakti!!!! Mamooli? Hmmm. Kaise ho mamooli. Haan ho tum woh mamooli masoom khushi jo hum bhool jate hai. Woh tara jo mere sar par hath pherta hai, raah dikhata hai. Dikhata hai ki duniya mein pyaar jaazbaat maiyne rakhte hai. Mera dil important hai. Kyunki woh tumhare liye dhadkta hai. I know it's a different kind of love. I mean our love is not everything but a bit of everything is there in our love. It's different not mad, passionate but on some days it is mad, some days passionate whereas on other days it is steady..... I love you jaan!

Anokhi- Shaurya! Mein kya kahoon! Kabhi kabhi yeh sab itna khoobsurat lagta hai ki khone ke darr ko mehsoos karti hoon aur door bhagne ka mann karta hai. Jahan yeh darr naa ho tumhe khone ka! Aur chahe kitna bhi pyaar karo yeh darr kambakt sath hi nhi chodega! Itna gussa bhi aata hai khud pe ki kyu darti hoon jab janti hoon ki tum waise nhi ho! Par....

Shaurya- Anokhi just because mein aaj tumhare life mein hoon tum apne past ko bhula nhi sakti. And you know there is that pain in your eyes even today!!!! But I promise I will always try to make it to stop it from aching for you. But without any expectation that it will heal you I will try to make you truly smile. Get the smile before all of this happened. Make you a child again. Who dreamed. And that's my life mission! That's not going to stop ever. And that is what I miss now when I think of us getting disconnected a few months back. I miss me who used to try. I stopped trying and that is the worst place to be in!!!! I will never stop trying Anokhi! Never! I love you. I really do.

Shaurya had tears in his eyes.

Anokhi- Shaurya ro mat! Yeh ek naya phase hai. Aur tumhe aur try karne ko milega. Mere mood swings try karne ko milega. Mera nausea try karne ko milega. Mera back ache try karne ko milega. And baki sab bhi! So chill!

Shaurya- Hmmm. Anu!

He kissed her on her lips lovingly and made her sit on the bed. He engulfed her in a side hug and they stayed that way for quite sometime.

Anokhi- Shaurya I wanted to say something.  Mein iss time ko utilize karna chahti hoon.

Shaurya- Arre job karo. Anokhi why are we even discussing this!

Anokhi- Because I don't want to do this job. Mujhe maaza nhi aa rha hai. I want change.

Shaurya- Change? Kya hua?

Anokhi- Shaurya ek secret hai jo kisiko nhi pata.

Shaurya- Kya?

Anokhi- Shaurya mazak udaoge tum.

Shaurya- Anokhi kaho naa! Please naa. Please jaanu!

Anokhi- Mein naa pehle kuch aur banna chahti thi. Writer banna tha! Par nhi ban payi. Abhi poems likhti hoon diary mein. Mujhe likhna hai Shaurya! I mean ab toh woh financial stress nhi rha. Ab mein iss job se bhi happy nhi. Wohi same kaam everyday. Pasand nhi hai. Soch rhi thi data science mein certification ka. Taki koi achaa job dhund sakoon par sath hi sath writing bhi karna hai mujhe. I mean. Kisise kehna mat. Aur mazak mat udana.

Shaurya- Isme kya hai jo mazak hai? Anokhi pehle kyu nhi kahan? Oh God! Pata nhi kab se tum unhappy ho aur dekho naa I didn't know. Anyways galti sudharte hai I will help you search for courses but honestly tumhara interest writiting hai so pursue that. Mera paisa kis kaam ka jo tumhe tumhare khwab ko pura karne ke liye majboor naa kare!

Anokhi- Thanks but abhi mein nhi dikha sakti jo likha hai!

Shaurya- Hey! I don't need a statement of your talent. I just need you to be happy. And if writing makes you happy. Usko hi follow karo jaan.

Anokhi- Love you!

Shaurya- Love you too!

How was update? I guess sab bhool gye mujhe. Was badly stuck with college work. And I miss watty so much but kya karre. Zalim professor ne band bajaya hua hai!!!!! Khair enjoy and bhulna mat mujhe please.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now