Part-28

340 54 23
                                        

Shaurya- Morning wifey! Theekh lag rha hai?

Anokhi- Haan.

Shaurya- Good. Wifey. Ek ghante ke liye jana hai college ek important meeting hai. Jaldi aa jaunga.

Anokhi- Huh. Hubby! Miss karungi tumhe.

Shaurya- Kya sunna maine? Hubby kahan?

Anokhi- Haan. I will miss you. Kash tumhe jana nhi padta.

Shaurya- Yeh tum jo miss kar rhi ho, keh rhi ho ki miss kar rhi hoon pata hai achaa lag rha hai. Special feel karwa rhi ho mujhe tum.

Anokhi smiles.

Anokhi- Phir se koi pasand aane laga hai Shaurya. Tum pasand aane lage ho mujhe. Everyday I like you more than I like you on the previous day.

Shaurya- Same! Achaa wifey chalta hoon mein. Ok. Dhyaan rakhna. Kuch bhi problem hua toh bas call kar dena ok. Agar tabiyat theekh nhi lagi yaa phir Mimi ko theekh nhi lag rha hoga toh please call kar dena. Mom hogi theekh hai. Take care. Ok.

Mimi- Ladoo papa pleech mat jao! Ladoo papa pleesh. Mimi ka khayal toh mumma rakhegi. Mumma ka kaun rakhega? Pleech papa.

Shaurya- Arre Mimi. Dadi hogi. Aur papa jaldi hi aaenge.

Anokhi- Mimi important kaam pe jaa rhe hai naa toh?

Mimi- Aapse bhi important? Mimi ke liye mumma most important! Bad papa.

Anokhi- Aisa nhi karte. Papa ko bura lagega naa. Papa sab kaam chodke Mimi aur mumma ki help kar rhe hai. Ek baar unhe jaana pad rha hai sirf.

Shaurya- No Mimi. Mumma and Mimi are most important to papa. Thanks Mimi.

And Shaurya leaves. But returns only 5 min later.

Anokhi- Kya hua gye nhi? Mimi bachi hai uski baat ka bura nhi mante.

Shaurya- Nhi laga. Par sach hi toh kahan. Aur isliye mein Mimi shona ke sath hi rahunga. Meeting live nhi online kar lunga. But Mimi shona ko chod ke nhi jaunga.

Mimi- Thank you papa. Ab mumma acchi rahegi. Aap agar jaate ho naa mumma thodi thodi sad lagti hai.

Shaurya- Sach Mimi.

Mimi- Yesh. Jab aap woh one day tip pe gye Mumma sad sad thi. Isliye mat jao ladoo papa.

Shaurya- Nhi jaa rha. Ladoo mumma aur Mimi ke sath hi honge.

Mimi- OK ladoo. Aaj mimi ko aaloo khana hai. Aap bana doge?

Anokhi- Mimi! Aap cook nhi hai aapke. Ki jo aap chaho banake denge.

Mimi- But mumma cook toh beemar hai naa. Kyunki papa log khana nhi bana sakte?

Shaurya- Bilkul Mimi. Aaj papa hi banenge. Dum aloo khaoge?

Mimi- Nhi ginger aloo khana hai. Pleesh papa.

Shaurya- Achaa meeting ke baad papa banake denge. 

Mimi- Okay papa. Mumma ab aap rest karlo. Mimi bhi rest karegi. Plomish!

Anokhi- Aww Mimi shona.

Shaurya- My Mimi shona is always right. So pleesh rest karna Anu! Dusre room mein hi rahunga for call ok?

Anokhi- OK.

Shaurya- Shona Mimi! Mumma ka dhyaan rakhna ok?

Mimi- Yesh papa ladoo! Aap bas ginger aloo bana do aur Samson ka saag.

Anokhi- Mimi! Papa sirf khana thodi banate hai!

Mimi- No. Ladoo papa sirf humse pyaar karte. Aur khana banana package mein included hota hai. Sahi bola papa?

Shaurya laughs.

Shaurya- OK Mimi bana dunga.

Anokhi- Hubby ruko naa. Sab Mimi ko hi banake dete hai. Mujhee bhi toh pucho koi!

Shaurya- Oh mumma jealous hai! Hmmm. Kahiye kya banake laoon?

Anokhi- Bhook bilkul nhi lag rhi. Isliye lunch mein sirf soup peena hau mujhe.

Shaurya- Madam. Aap kamzor ho jaoge.

Anokhi- Meri ek itni chotisi request ko bhi nhi mann sakte kya.

Shaurya- Achaa. Achaa soup toh lekar aaunga but uske sath kuch aur bhi launga aur tum mana nhi kar paogi.

Anokhi- Aisa kya banakar laoge?

Shaurya- Tum dekh lena.

Anokhi- OK excited hoon.

Shaurya- Mein jaldi jaldi meeting karunga aur fir tum dono ke paas aa  jaunga.

Shaurya goes for the meeting and leaves Devi with Anokhi and Mimi. Anokhi had initially refused as she didn't want to trouble Devi but then when Devi requested her, Anokhi had ro agree. Devi played with Anokhi and Mimi but after a while she could see Anokhi feel tired.

Devi- Anokhi beta rest karlo. Mein hoon naa Mimi ke sath. Haan?

Anokhi- Huh. Haan. Theekh hai.
She then rested her heavy and warm head on the pillow and couldn't stop the sigh from escaping her mouth.

Devi- Beta koi takleef hai?

Anokhi- Nhi maa. I mean badi maa.

Devi- Arre maa bula sakti ho.

Anokhi- Hmmm. Maa se baat kiye salon ho gye hai. Badi maa. Yaad aa rhi hai.

Devi- Arre mera bacha.

Anokhi- Huh! Shaurya. Shaurya... Haan tumhe... Pata hai maa ko call kia tha. Har saal. Nhi uthaya. Kisine. Ghar pe papa. Koi nhi uthata. Achaa nhi laga. Bura laga. Shaurya bura lagta hai. Mera koi nhi hai Shaurya. Bas tum. Mimi. Huh... Mimi aur tum. Tum aur Mimi. Matlab Mimi. Mimi ko school chod doge naa. Box pack kar dia hai. Mimi kha legi. Pencil box kharidna hai Mimi ka. Naya kbarid ke denge. Mein lekar aaungi Haan. Aloo aur karela aur bhindi. Pasand hai naa tumhe Shaurya. Banake laungi. Haan. Haan bana dungi. Badi maa ke liye medicine le lia hai. Shaurya tum aur Mimi. Mimi aur tum......

Her feverish utterances made Devi emotional.

Devi- Mimi papa ko lekar aao.

Mimi- Mumma ne kahan papa ko nhi distub karna hai.

Devi- Mimi! Please bula lao.

Mimi runs to get ladoo papa.

Devi- Arre mera bacha. Shant ho jaa. Dekho Shaurya aa rha hai. Hai naa.

Anokhi- Mumma! Aap kab aaye. Mumma dekho naa garm garm ho rha hai. Achaa nhi lagra. Mumma! Sir dukh rha hai. Aankh jal rha hai. Kuch karo naa. Achaa nhi lag rha.

It was so ironic that Anokhi who poured so much motherly love was completely devoid of it and Devi felt so sad, she wished she could fill this void and as Shaurya rushed from the door he felt so sad to see the Anokhi he had left smiling was disoriented from fever and the thing she asked for her mother, he couldn't give her.

How was this update? Do comment please!!!!

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now