Naira aur Kartik ke utre hue chehre dekh kar Tejaswini, Kuku, Mishbir, Ansi sab darr jate hain. Abir aur Kunal daur kar gate pe aate hain.
Abir - Kya baat hai di? Aap log kahaan chale gaye thay?
Kunal - Koi parshani wali baat toh nahi hai? Aap dono ke chehre kyun utre hue hain?
Kartik-Naira ek-dusre ko dekhte hue saamne se hatt jaate hain aur Meenakshi aati dikhai padti hai. Unhe dekh kar Abir-Kunal ek-sath "maa" bol padte hain.
Unki ye baat sunke Tejaswini ji Meenakshi ko dekhne lagti hain, kuch pal dono maa-beti ek-dusre ko dekhte rehte hain. Naira-Kartik ek-dusre ko dekhte hain.
-------------------FLASHBACK-------------------
Rajvansh house:
Naira, Kartik, Yashpal aur Parul sawaliya nazron se Meenakshi ko dekhte rahe hote hain. Meenakshi saamne dekhte hue bolti hai -
"Woh jab bhi chahein iss ghar mein aa sakti hain".Meenakshi ki ye baat sunke woh charo smile karte hain tabhi Meenakshi unki hasi chheente hue bolti hai -
"Lekin dhyan rahe! Main sirf apne bachhon ki wajah se maani hoon, unhe abhi tak maaf nahi kiya".--------------FLASHBACK ENDS--------------
Tejaswini aur Meenakshi haule-haule ek-dusre ki taraf badh rahe hain. Naksh, Ananya aur Keerti bhi hall mein aa jate hain.
Song:
Luka chhuppi, bahut hui
Saamne aa jaaa naaaa
Kahaan-kahaan, dhoondha tujhe
Thak gayi hai ab teri maa.Meenakshi Tejaswini ko dekhte hue bade hi pyar se "maa" kehti hai. Ye dekh kar sablog khush ho jaate hain. Tejaswini ek-jhatke se Meenakshi ko hug kar leti hai.
Aaja sanjh hui, mujhe teri fikar
Dhundhla gayi dekh meri nazar
Aa ja na......!Tejaswini ji rote hue bade hi komal bhaw se bolti hain - "Humari bachhi!"
Tab Meenakshi muh banate hue unke kaan mein bolti hai -
"Sab kuch bachhon ke liye hai, sirf bachhon ke liye".Tejaswini ji uski baat samajh nahi paati aur confuse ho jaati hai.
Abir Meenakshi ke paas aakar khushi se abhi-bhoot hote hue kehta hai -
"Maa! Maa! Maa! Main jaanta tha ki aap naani ko maaf kar dengi".Itna bolkar woh Meenakshi ko hug kar leti hai. Fir Tejaswini ji ko dekhte hue bolta hai -
"Dekha naani! Aap bekaar mein hi pareshan ho rahi thi."Tejaswini halka sa muskurati hai.
Meenakshi (Tejaswini ji ko dekhte hue) - Maa aap jab bhi chahein ghar wapis aa sakti hain.
Mishti (Haste hue) - Ab toh naani humare sath hi wapis jayengi.
Mishti ki baat pe Abir haan mein sir hilaata hai.
Meenakshi - Ab jaisa tumlog chaho!
Tejaswini ek nazar Naira-Kartik ko dekhti hain.
_________________________________Night:
City hospital:
Jasmeet, Anshuman aur Naitik ICU ke bahaar khade hain. Naitik ji Anshuman ke saamne hath jodte hue kehte hain -
"Karishma ko khoon dene ke liye thank you Anshu".Anshuman Naitik ji ka hath pakadte hue kehta hai - "Ye aap kya kar rahe hain Jiju! Karishma meri bhi toh kuch lagti hai".
Jasmeet - Log anjaano ki madad bhi kar dete hain, fir Karishma toh meri best friend hai jiju!
YOU ARE READING
Yeh Rishta Meetha Sa ❤
FanfictionThis is my first ever story on wattpad, it's a fan fiction of famous tv show 'Yeh Rishta Kya Kehlata Hai'. This story shows the lives of Naksh, Kaira, Keesh, Mishbir and their families. 1) It's a story of families who are connected to each-other by...