Part 2 - Nandini's illness 😥

1.2K 49 9
                                    

Naira girne wali hoti hai ki koi aake usey tham leta hai aur woh dono aankhein char karte hain.

Naira says - Mendhak 🐸 ke bachhe, chhodo mujhe.

Kartik waisa hi karta hai aur Naira gir jaati hai. Naira gusse mein bolti hai - 'ye tumne kya kiya'?

Kartik innocent sa face bana ke kehta hai - 'Tumne hi toh kaha chhod do, toh maine..............'

Ispe Naira taana marte hue kehti hai - 'Haan! Jaise tum humesha mere man ka hi karte ho'

Kartik kehta hai - 'Haan bilkul! Karta hi hoon. Bhala meri aisi mazaal ki main sherni 🦁 ke aage zubaan chalaun'.

Naira kehti hai - 'Baatein toh badi achi kar lete ho par romance ke naam pe.......'

Romance shabd sunte hi Kartik Naira ko apni taraf kheech leta hai aur uske chehre pe hath ferte hue kehta hai - 'Romance! woh hi toh ek aisi cheez hai jo main kabhi bhi aur kahi bhi kar sakta hoon'.

Naira chid-chid hokar kehti hai - 'Dekh rahi hoon, ab toh tum office mein kaam ke sath bhi romance kar lete ho, haina? Chhodo mujhe, sham ki aarti ka waqt hai'

Kartik bhi jaan-boojhkar usey tang karte hue kehta hai - 'jao..nahi chhodta'

Naira dadi ko aawaz lagati hai. Dadi ka naam sunte hi Kartik Naira ko chhod deta hai aur Naira andar chali jati hai, Kartik bhi uske piche-piche chala jata hai.

Naira aarti karke sabko prasad deti hai. Kartik aur Kairav ko ek-ek laddoo extra deti hai kyunki dadi ka order tha. After all, unke pote aur parpotey ka favourite hai laddoo.
Raat hoti hai 🌃

Sab log so rahe hain par Surekha aur Akhil ko excitement ke maare neend nahi aa rahi.

Surekha ➡ Akhil! Kal humlog apne bachhon ke paas jane wale hain.

AkhilHaan Surekha. Bade dino baad Mansi-Anmol aur Luv-Kush se mulaqat hogi.

Surekha ➡ Aur hamare naati se bhi. Bhale hi Mansi ne usey kabhi adopt kiya tha, par hai toh woh hamara naati hi na.

Akhil ➡ Main toh apne naati se pehli baar milne ke liye bahut excited hoon....par abhi so jate hain warna kal flight ✈ miss ho jayegi.
------------------------------------------------------
Akshara Niwas ki subah Keerti ke aarti se shuru hoti hai. Aarti ke baad Keerti sabko prasad deti hai aur Krish se kehti hai ki woh Nandini bua ko le aaye. Krish ke jane ke baad buadadi kehti hai -
'Kya haalat ho gayi hai mhare Nandini bitiya ki. Ek pal mein waa ka toh sansaar ujad gayo'. Buadadi emotional ho jati hain. Krish Nandini ko lekar aata hai aur ye kya 😲😲 Nandini ke maang mein sindoor nahi hai.

Naitik ➡ 'Nandini didi wheelchair par hain, woh ab bolti nahi, chalti nahi, mujhe rakhi nahi bandhti, bas chup rhti hain, woh sadme mein hain😥'
Naitik bhi emotional ho jata hai. Naksh aur Keerti Buadadi aur Naitik ko sambhalte hain.

Keerti ➡ Naksh! Bua ki doctor aayi ya nahi, kuch baat hui aapki unse?

'Main aa gayi, yeh toh meri duty hai and work comes first' - someone says.

Naksh ➡ Maasi😊 Thank god aap aa gayin. Bua ki tabiyat aaj subah se hi theek nahi lag rahi.

Doctor ➡ Last time jab main check up ke liye aayi thi tab mujhe aisa hi kuch hone ka andesha hua tha. Don't worry, she's recovering.

Naitik ➡ Thank you Priyanka🙏🏼 Aap didi ki doctor hain, isliye mujhe tasalli rehti hai. Aap toh humari family doctor ban gayi hain.

Priyanka ➡ Naitik ji, isme thank you ki kya baat. Hum sab ek family hain.

Naksh ➡ Krishna pehle hi cafe chali gayi hai, ab main bhi chalta hoon, Bye👋.

Naksh leaves 🚘.

Keerti ➡ Jab humlog yahaan aaye thay tabse lekar aaj tak Krishna, cafe mein Naksh ki help karti hai aur vacations pe toh har waqt cafe mein hi rehti hai.

Krish ➡ Haan! Aapki toh favourite wahi hai.

Krish Tum bhi kabhi apne papa ki help kar diya karo, waise bhi vacations chal rahe hain.

Krish leaves throwing attitude and everyone smile😁😁.
----------------------------------------------------
Vaikuntha Niwas

Varsha ➡ Maa! Aapne Keerti se baat ki?

Rajshri jhoole pe baithi hai. Kehti hai ➡ 'Beta Varsha! Tune pehle kyun nahi bataya? Abhi toh nahi, ab toh raat ko hi call karungi'.

Koi ladki chai 🍵 lekar aati hai aur
kehti hai ➡ 'Badi dadi! Aapki chai'.

Rajshri ➡ Thank you bitiya rani, tujhe meri bhi umar lag jaye.

Varsha ➡ Sach maa! Humare Nannu ki patni laakhon mein ek hai. Nannu ne Siya ke naam pe kohinoor chuna hai.

'Aur ho bhi kyun na, Priyanka ne itni achi parvarish jo di hai isey' ➡ Vishambhar says.

Siya ➡ Arey! Bade dadu. Aap uth kyun gaye? Aapko aaram ki zaroorat hai. Chaliye main aapne paon daba doon.

Vish is not willing to take rest but on Siya's insistence, he agrees. Varsha and Rajshri take a deep look at Siya.

Varsha ➡ Koi kahega ki ye Priyanka ki biological daughter nahi hai?

Rajshri ➡ Khoon se bhi gehra mann ka rishta hota hai. Dono maa-beti ek jaise hain.

Goenka Villa
Kaira in their room

Kartik ➡ Chachu-Chachi chale gaye hain, bas ache se pahuch jayein 🙏🏼.

Naira ➡ Yeh kaisi kashmkash mein humlog fas gaye hain Kartik. Ek taraf Mansi-Anmol hain aur ek taraf bhai-bhabhi.

Kartik ➡ Rishton ki dor itni uljhi hui hai ki humlog kuch kar nahi paa rhe.

Naira ➡ Hum inn uljhe rishton ko suljhana hoga Kartik.

They both hug each-other and episode ends here.

Aakhir Kaira kis baare mein baat kar rahe thay? Kon hai Nandini ki aisi haalat ka zimmewar? Jan-ne ke liye padhte rahiye....
'Yeh Rishta Meetha sa'

Yeh Rishta Meetha Sa ❤Where stories live. Discover now