Part 8 - A shocker for Naksh-Keerti

769 34 2
                                    

Vaikuntha Niwas:

Darwaje par khade logon ko dekhkar Siya surprise ho jati hai.

Rajshri ➡ Suhasini ji aur Manish ji hain na.

Siya ➡ Haan.

Siya unn dono ko andar le aati hai.

Rajshri ➡ Suhasini ji! Jaise hi aapka call aaya, dil ko ek ummeed mili ki shayad ab sab kuch theek ho jayega.

Suhasini ➡ Hume jald se jald Naksh-Keerti se maafi maagni hai, taaki hum chain se marr sake.

Manish ➡ Maa! Aap kya ye sab.......

Siya ➡ Aaplog baithiye, main chai banati hoon.

Manish ➡ Nahi beta! Itni raat ko kya chai-naashta. Ab toh apne bachhon se milne ke baad hi chain aayega, tabhi gale se kuch utrega.

Sablog sone chale jate hain par nind kisiko nahi aati.
------------------------------------------------------
Next day: Akshara Niwas

Keerti aarti karti hai.......

"O Kanha ab toh murli ki....madhur sunaa do taan
Main hoon teri prem diwani, mujhko tu pehchaan.....madhur suna do taan"

Keerti sabko prasad de rahi hoti hai ki tabhi baahar se aawaz aati hai...

'Hume bhi prasad de do beta'

Sablog darwaaze ki or dekhte hain. Darwaaje par Manish aur Suhasini khade hain.

Suhasini ➡ Kya hume andar nahi bulaogi Keerti beta?

Keerti bhutt bani khadi rehti hai. Krish daur kar apne nanu aur parnani ke gale lag jaata hai aur unhe andar le aata hai. Naksh usey Shaurya ke sath cafe bhej deta hai. Keerti pooja ki thaal mandir mein rakh deti hai.

Keerti ➡ Aaj meri yaad kaise aa gayi? Yahaan Kartik ya Mansi nahi rehte. Ye Akshara Niwas mera ghar hai, Keerti Singhania ka ghar.

Manish ➡ Keerti beta! Main maanta hoon ki mujhse bahut badi bhool ho gayi hai. Par kya tu jeevan bhar aise hi humse naaraz rahegi?

Naksh ➡ Papa! Sab kuch jalne ke baad raakh pe pani daalne ka koi fayda nahi hota.

Suhasini ➡ Damaad ji! Bachhon ki kitni hi galtiyon ko bade maaf kar dete hain toh fir jab bade galti karte hain, toh unhe maafi kyun nahi mil sakti?

Keerti ➡ Main kaun hoti hoon kisiko maaf karne wali. Mera naam Keerti Singhania hai, main Singhanias ki bahu hoon aur Naksh Singhania mere pati hain. Mera koi mayka nahi hai. Ye Akshara Niwas hi mera sabkuch hai.

Rashmi ➡ Narazgi apno se hoti hai, parayon se nahi.

Naksh ➡ Humare mann mein kisi ke liye koi bair nahi hai, par koi rishta bhi nahi hai. Abhi Nandini bua theek se theek bhi nahi hui hai, please aaplog yahaan se chale jaiye.

Buadadi ➡ Ib toh mhara koi kaam na reh gaya athhe. Sare faisle toh je bachhe hi levenge na. Naks-Keerti! Singhanias ke bachhon ko je badtameezi shobha deve hai ke??? Bol.

Keerti-Naksh go on silent mode with their eyes down.

Krishna ➡ Main bahut chhoti hoon par ek baat kehna chahti hoon. Yun kisi ke keh dene bhar se koi rishta toot nahi jata. Apne toh apne hi hote hain.

Rashmi ➡ Keerti! Ghar aaye mehman ka achhe se aadar-satkar karo. Koi kami nahi rehni chahiye khatirdaari mein, warna Singhanias ki jag-hasai hogi.

Naksh ➡ Mehman hain toh mehman ban kar rahein, usse jyada nhi. Krishna beta! chalo hum cafe chalein, tumhare hath ki 'love special coffee' se hi toh cafe chalta hai.

Yeh Rishta Meetha Sa ❤Where stories live. Discover now