Part 16 - Till Janmashtami...

462 31 14
                                    

Maheshwari house:

Everyone is sitting in hall.

Manish ➡ Aaj agar Rukmini ji zinda hoti toh bhaiyas-bhaiyas karke poora ghar sir pe uthaa leti.

Akhil (smiles) ➡ Bhai sahab! Hum toh unse bhaagte firte.

Manish ➡ Par ab woh nahi hain toh unki kami khal rahi hai.

Akhil ➡ Par woh jahaan bhi hongi hume dekhkar khus hi ho rahi hongi.

Buadadi ➡ Manney bhi aaj apne Mandru aur Raj banna ki bahut yaad aave hai. Mandru toh ib raha nahi aur Raj banna aashram jaa ke bethaa hai. Je bhi naa soche hai ki tyohar ke din toh kam-se-kam didi ko yaad kar liya jaye.

Muskan ➡ Woh aapko bahut yaad karte hain buaji. Humesha mujhe apne bachpan ke kisse sunate hain. Woh toh aapko maa ke roop mein dekhte hain.

Buadadi ➡ Jaanu hoon. Manne akele paala hai apne dono bhaiyon ko.

Kuhu ➡ Aaj toh mere Nanchak (Nannu) bhi yahaan nahi hai. Aisi koi rakhi nahi gayi jab woh mere sath naa rahe ho.

Varsha ➡ Beta tu mann chhota mat kar. Jald hi tere Nanchak wapis aane wale hain.

Shaurya ➡ Tab saari kasar poori kar lena.

Suhasini ➡ Humari kismat toh dekho. Naa humara koi bhai hai aur naa humare beto ki koi behen. Hum toh bachapan se hi apni jiji ko rakhi bandhte thay aur woh hume.

Manish ➡ Isliye toh ab-tak aap aur tejaswini maasi ek dusre ko raakhi bhejti hain. Par iss baar maasi ki rakhi ab tak nahi aayi.

Akhil ➡ Rakhi toh kab ki aa gayi hai bhai sahab!! Zara maa ki kalai toh dekhiye.

Suhasini ➡ Actually iss saal jiji ne pehle hi rakhi bhej di thi.

Manish ➡ O acha!!

Swarna ➡ Maaaaji!! Woh.....

Rajshri ➡ Kya baat hai? Koi pareshani hai kya Suhasini ji?

Swarna ➡ Actually main apne mayke jaana chahti hoon. Bhaiya kab se message kar rahe hain.

Surekha ➡ Haan! Main bhi apne bhai ko rakhi bandhne jaana chahti hoon.

Suhasini (angry) ➡ Kya tum dono paagal ho gayi ho?

Surekha ➡ Maa...ji.....😶

Suhasini ➡ Itni der kar di bataane mein. Jaldi niklo tum dono yahaan se, wahaan tumhare bhai intzaar kar rahe honge.

Rajshri ➡ Zaroor jao beta! Aaj toh har bhai-behen ko milne ka haq hai.

Swarna-Surekha jaane lagti hain.

Suhasini ➡ Ruko!!

Swarna ➡ Kya hua maaji......?

Suhasini ➡ Manish! Akhil! Kya tumhari patniyaan akele mayke jayengi?

Manish ➡ Nahi maa! Akele kyun jayengi!!

Akhil ➡ Haan maa! Hum bhi unke sath jayenge.

Suhasini ➡ Toh jao naa!

Swarna-Manish and Akhil-Surekha leaves.
------------------------------------------------------

Rajshri ➡ Main aap sabse kuch maangna chahti hoon.....

Rashmi ➡ Kahiye na aunty...kya baat hai?

Yeh Rishta Meetha Sa ❤Where stories live. Discover now