Mumbai:
Rose kitchen mein breakfast bana rahi hoti hai ki tabhi Mansi wahaan aati hai. Rose apne kaam mein lagi rehti hai, woh Mansi ki taraf dekhti bhi nahi:
Mansi ➡ Main kuch help kar doon?
Rose ➡ No! Main kar loongi. Tum hall mein jaake baitho.
Mansi ➡ Aap kaam karengi aur main baithi rahungi, aise acha thodi na lagta hai. Main aapki help kar deti hoon.
Rose ➡ I don't like people interfering in my works.
Mansi ➡ Lekin.. ...
Rose ➡ Do you wanna take tea?
Mansi ➡ Haan! Par main chahti hoon ki aaj chai main banau............
Rose (ignores) ➡ Go and sit in hall....I'll bring tea for you in sometime.
Mansi goes and sits in hall with everyone. Meanwhile someone rings the bell. Mansi opens the door and gets surprised to watch her full family there.
Mansi (surprised) ➡ Aaplog yahaan! Itni subah-subah!
Manish ➡ Humara mann kiya toh apni beti se milne chale aayein.
Mansi ➡ Tauji!!!
Mansi hugs Manish.
Swarna ➡ Kya tauji se hi milti rahegi? Idhar humlog bhi hain.
Mansi hugs Swarna. Anmol and Yash greet everyone.
Buadadi ➡ Ab ke baahar se hi swagat karti revegi? Hume andar aane ka mauka na milege ke?
Anmol ➡ Haan! Aaiye na buanaani.
Everyone enters the house.
------------------------------------------------------Akshara Niwas:
Everyone in temple, it's aarti time.
Naira ➡ Bhabhi! Agar aapki izazat ho toh aaj main aarti karoon?..........
Keerti stares at Naira with angry looks.
Keerti ➡ How dare you Naira? Main jaanti thi ki ghar mein aate hi tum mere saare haqq chheen-ne lagogi, Isiliye main nahi chahti thi ki tum iss ghar mein aao.
Naira ➡ Bhabhi! Main toh bass.......
Keerti ➡ Kya laga tumhe, main ye sab kahoongi?
Keerti starts smiling.
Naksh ➡ Naira! Tujhe poochhne ki kya zaroorat hai? Tu poore haq se jo chahe kar sakti hai, ye tera hi ghar hai.
Naira ➡ Thank you ❤!
Keerti ➡ Bass ho gaya! Ab dubara thank you mat bolna, warna main sach mein gussa ho jaungi haan!
Naira Keerti ke gale lag jati hai, itne mein hi bachhe aate hain.
Krish ➡ Offo! Mujhe laga tha pooja khatam ho gayi hogi par yahaan toh alag hi scene chal raha hai.
Kairav ➡ Bua aarti karo na!
Kartik ➡ Bua ke chamche! Aaj tumhari mumma aarti karegi.
Krish ➡ Toh kya hua, meri toh bua hi hai na.
Krish-Kairav starts laughing 😁😁.
Kartik ➡ Dekh rahe ho Naksh! Ye bachhe hume hi baaton ke jaal mein fasane ki koshish kar rahe hain.
YOU ARE READING
Yeh Rishta Meetha Sa ❤
FanfictionThis is my first ever story on wattpad, it's a fan fiction of famous tv show 'Yeh Rishta Kya Kehlata Hai'. This story shows the lives of Naksh, Kaira, Keesh, Mishbir and their families. 1) It's a story of families who are connected to each-other by...