Part 73 - Dukh ke pal!

175 12 1
                                    

Goenka Villa:

Hall mein ek safed chaadar se dhaki Vansh ki laash padi hui hai, uska poora chehra chilla hua  hai. Bagal mein dhoop-agarbatti jalai hui hai aur charon taraf log baithe hue hain, sabse saamne hokar Shubham baitha hua hai aur Kartik usey sambhale baitha hai. Bagal mein Swarna aur Abhimanyu baithe hain.

Sofe par Gayu behosh padi hai, Naira ne usey apni god mein litaa rakha hai. Sabki aankhein sooji hui hain aur chehre pe udaasi ki lakeerein kheechi hain. Aaj toh poora Goenka Villa shok mein dooba hua hai.

Sehsa shanti mein doobe sannate ko todte hue Manish ji dukhi aawaz mein bolte hain -
"Ek pota toh chala gaya, dusra kahaan hai"?

Manish ji ki baat sunke sabko Kairav ka khayal aata hai.

Suhasini - Kairav........Kittu......

Bolta hue Suhasini Kartik ki taraf dekhti hai. Kairav ka zikr hote hi Kartik aur Naira ek-dusre ko dekh rone lagte hain. Rote-rote Kartik bolta hai -
"Pa..pa... woh..... woh......."!

Kartik ki boli thar-tharane lagti hai, Shubham Kartik ko gale lagaate hue "coma" bolkar rone lagta hai.

Shubham ki baat sunte hi Manish aur Suhasini apna maatha thok lete hain. Swarna aansuon mein doob jaati hai.

Gate pe se kisi ke sisakne ki aawaz aati hai, ye Naksh aur Keerti thay. Dono andar aakar ek nazar laash ki taraf dekhte hain aur apni aakhein band kar lete hain.

Naksh behosh padi Gayu ke paas jaakar baith jaata hai aur uske mathe pe haath fer deta hai, fir Naira ki taraf dekhta hai jisne Gayu ka sir apni god mein rakha hua tha. Naksh ko dekhte hi Naira "bhai" bolkar kuch iss tarah rone lagti hai, jaise kabse usne apne aansuon ko dabaa ke rakhaa ho.  Naksh usey chup karane ki koshish karta hai.

Keerti Shubham ko gale se lagaa leti hai, Shubham phoot-phoot kar rote hue kehta hai -
"Di main kaise jiunga apne bete ke bina, mere kaleje ke tukde ko chheen liya bhagwan ne mujhse di! Ab kiske liye jiunga main, kon mujhe papa kahega"?

Keerti apni aankhon mein dab-dabaye aansuon ko rok deti hai aur Shubham ke aansoon poochte hue kehti hai -
"Tujhe jeena hoga, Gayu ke liye, maa-papa ke liye, ye tera apna dird hai aur family bhi teri apni hai. Tujhe khud ko sambhalna hoga mere bhai".

Shubham (rote hue) - Mujhse nahi hoga di, nahi hoga mujhse....!

Keerti "Nahi mere bhai" bolkar uske gaal pe hath fer deti hai.

Gayu sapna dekh rahi hai, woh dekh rahi hai ki Vansh usse bahut door jaa raha hai. Woh "maa, maa, maa bachao, bachao maa" chilla raha hai. Gayu bechain ho rahi hai.

Sehsa woh "Nahi, nahi" chillate hue uthti hai aur gate ki taraf bhagne lagti hai. Naira, Kartik aur Shubham bhi uske pichhe bhagne lagte hain.

Naira - Kahaan jaa rahi hain Gayu di ruk jaaiye....

Gayu (daurte-daurte) - Main Vansh ko rokne jaa rahi hoon.....

Shubham - Ruk jao Gayu.....

Gayu - Mujhe mat roko Shubham, dekho Vansh mujhse door jaa raha hai.

Kartik - Wahaan koi nahi hai Gayu.

Gayu - Arey ye toh raha, dekho mujhse kitna door jaa raha....

Gayu kisi ke rokne pe nahi rukti, bas daurti-daurti gate tak pahuch jaati aur paon mein thes lagte hi girti hai lekin koi usey girne se bacha leta hai.

Naira, Kartik aur Shubham unhe dekhte hi apni-apni jagah pe hi ruk jaate hain.

Gayu niche jhuke-jhuke hi bolti hai -
"Mujhe mat rokiye, chhodiye mujhe, Vansh, Vansh......, Chhodiye mujhe".

Yeh Rishta Meetha Sa ❤Where stories live. Discover now