Part 48 - Keerti learns the truth!

215 15 1
                                    

Sabki zindagiyon mein kuch na kuch chal raha tha. Dheere-dheere karke kuch din beete. Beete dino mein Chikki aur Dhruv ache dost ban chuke thay. Ab Damini ko bhi ye ahsaas ho gaya tha ki Goenka Parivaar mein koi kisi se kam jyada nahi hai, waqt-waqt pe sab ek-dusre ka sath dete hain aur khusi-khusi rehte hain.

Udhar Switzerland mein Naksh ab Sanju ke ghar rehne laga tha. Sanju ki ek beti thi jiska naam usne Yashika rakha tha. Naksh ko Yashika apni si lagti thi. Usey aisa lagta tha jaise uska Yashika se janmo ka rishta hai.

Idhar Keerti ka shaq din-ba-din badhta jaa raha tha, woh shaq karna nahi chahti thi lekin khud ko rok bhi nahi paa rahi thi. Naitik ke baar-baar bulane par bhi buadadi ghar laut kar nahi aayin. Woh bhi ab aashram mein hi rehne lagi thi.

Naksh ka cafe ab Rajveer sambhalta tha. Uska Krishna ke sath ek alag hi rishta judd chuka tha. Dono hi ek-dusre ke sath waqt bitana pasand karte thay. Rajveer toh Krishna ko apni beti ki tarah pyar karta tha.

Abir aur Mishti har roz Tejaswini se ghanto baatein karte, ek bhi din aisa nahi jaata jab unki video calling nahi hoti. Keerti ye sab observe kar rahi thi lekin woh ye samajh nahi paa rahi thi ki aakhir uski maasi dadi se Abir-Mishti itne close kaise ho gaye.

Aise hi ek sham Abir-Mishti garden mein baithe Tejaswini se baat kar rahe thay aur Keerti door khadi ye sab dekh rahi thi. Call disconnect hote hi woh Abir-Mishti ke paas aati hai.

Keerti - Abir! Mishti! Main tum dono se kuch poochhna chahti hoon.

Abir - Kya baat hai di?

Mishti - Kuch hua hai kya bhabhi?

Keerti - Abir! Main dekh rahi hoon jab se tum Udaipur se aaye ho tabse har roz tumlog maasi dadi se baat karte ho. Wahaan se bhi tum aur maasi dadi ek sath nikle thay. Aakhir ye sab chal kya raha hai? Mujhe toh koi kuch batata hi nahi hai iss ghar mein.

Mishti - Pehle aap shant ho jaiye bhabhi!

Mishti ye bolte hue ek glass mein paani nikalti hai aur Keerti ki taraf badha deti hai.

Mishti - Ye lijiye paani pijiye bhabhi.

Keerti paani peeti hai aur teeno baith jaate hain.

Abir - Keerti di! Agar aapko yaad ho toh shadi ke baad sablog pandal ke baahar khade thay. Aur main aur maasi dadi ek sath baahar aaye thay.

Keerti ko kuch yaad aata hai.

Keerti - Haan! Aur tum dono ke piche se Damini nani aayi thi.....!

Keerti ko kuch ahsaas hota hai. Woh Abir ko dekhti hai jiska chehra Damini ka naam sunke utar chuka tha. Woh Abir ke gaal pe hath fer deti hai.

Keerti - Samajh gayi! Zaroor Damini nani ne kuch kiya hoga. Hai na?

Abir - Haan di! Woh actually.....!

--------------------FLASHBACK----------------------

Udaipur:

Shiv pandal:

Sablog pandal ke baahar khade hain. Tejaswini pandal mein aa rahi hoti hai aur Damini washroom ki taraf jaa rahi hoti hai. Damini jaan boojhkar Tejaswini ko tokti hai.

Damini - Tejaswini ji! Washroom kidhar hai?

Tejaswini - Ye jo room bana hai uske baad.

Damini - O acha! Waise ek baat puchu aapse?

Tejaswini - Ji puchiye na!

Damini - Aap sindoor lagaati hain, mangalsutra pehenti hain lekin naa maine kabhi aapke pati ko dekha hai aur naa hi bachhon ko. Akhil-Surekha ki shadi mein bhi aap akeli hi aayi thi.

Yeh Rishta Meetha Sa ❤Where stories live. Discover now