Part 75 - Kaira gets delighted!

167 14 1
                                    


Goenka Villa:

Kaira Kairav ke paas baithi uska matha sehlaa rahi hai. Woh dukhi mann se bolti hai -
"Bhai please uth jaao na, tumhari sister ki first raakhi hai tumhare sath. Please na! Tum mujhe apni behen toh maante ho na? Yaa fir woh bhi nahi...!"

Kaira dukhi hokar wahaan se jaane lagti hai lekin tabhi kuchh aisa hota hai ki uske paon jyon ke tyon tham jaate hain. Ek pal ko usey apni aankhon pe vishwas nahi hota, agle hi pal woh uchhalne lagti hai aur khusi se chilla-chilla kar sabko bulane lagti hai -
"Maa, papa, dadu jaldi yahaan aaiye".

Kaira ki baat sunke sablog bhage-bhage aate hain. Sabse aage Naira-Kartik, unke pichhe Manish, Suhasini, Priyanka, Devyani aur fir Swarna ko lekar Abhimanyu aata hai. Uske baad baaki log.

Naira - Kya hua beta aap aise chillaye kyu?

Kaira excited hokar bolti hai -
"Maa bhai ne blink kiyaa....."

Kartik - Kyaa....kya kaha aapne?

Kaira - Bhai ne blink kiya papa!

Kisi ko bhi Kaira ki baat pe vishwas nahi ho raha tha. Naira usey pakadte hue poochhti hai -
"Aap sure toh ho?"

Kaira - Haan maa! Aap khud dekh lo...!

Kaira ki baat sunkar sablog Kairav ki taraf dekhte hain.

Kaira - Bhai please ek baar blink kar do, dekho kisi ko mujhpe trust nahi ho raha. Please, please!!

Sablog ek umeed se Kairav ko dekhte rehte hain lekin aisa kuch nahi hota. Kaira ke baar-baar bolne ke bawajood bhi Kairav blink nahi karta. Sablog udaas ho jaate hain.

Kaira - Bhai please.........

Manish (shant swabhav se) - Kairaaa! Beta ho sakta hai aapko koi galatfehmi hui ho.

Kaira - Nahi dadu! Bhai ne sach mein blink kiya, maine apni aankhon se dekha.

Kaira ki baat pe kisi ko bhi yakeen nahi tha, lekin woh khud confident thi. Woh apni aankhein band karke kuchh sochne lagti hai, kisi ko kuchh samajh nahi aata.

Thodi der baad uske chehre pe ek smile aa jati hai aur woh apni aankhein khol Kairav ke paas jaati hai -
"Bhaiii! Tum mere chhote bhai ho aur main tumse bahut love karti hoon. But kya tum real mein mujhe apni sister maante ho?"

Sabki nigaahein Kairav par thi.

Kaira - Bolo Kairav! Kya tum bhi mujhse utna hi love karte ho?

Naira-Kartik dono apne fingers twist kar lete hain aur iss baar unke chehre pe muskurahat aa jati hai kyunki Kairav blink kar deta hai.

Kaira - Dekha na aap sab ne?

Naira aur Kartik khusi ke maare phoole nahi samaa rahe thay. Sabke chehre par muskan thi. Kartik-Naira aage badhke Kaira ko hug kar lete hain.

Naira - Haan dekha humne beta! Sab dekha.

Kartik - Ye bhi dekha ki bhai-behen mein kitnaa pyar hai.

Naira-Kartik itne khus thay ki unki chhalak rahi thi, Suhasini bhi emotional ho chali thi. Manish ji ne apni aankhon mein aansuon ko kaid kar rakha tha.

Naira Kairav ke paas jaake uska maatha choomte hue bolti hai -
"Thank you Ganga maiya! Ab bas jaldi se mere bachhe ko poori tarah theek kar do".

Surekha - Haan Naira aisa hi hoga.

Devyani - Bhagwan ke ghar der hai lekin andher nahi.

Yeh Rishta Meetha Sa ❤Where stories live. Discover now