Part 9 - A surpise for Nandini

717 35 12
                                    

As Naitik comes along with Naira and Kartik, Naksh-Keerti move towards their room. They get emotional and share a warm hug 🤗 🤗 . Buadadi welcomes Naira and Kartik. They both hug buadadi and get emotional.

Keerti ➡ Naksh! Ye kis mod pe laake zindagi ne khada kar diya hai hume, humare apne hi.........💔

Naksh ➡ Keerti ji! woh waqt hi galat tha. Hume Naira-Kartik se koi gila nahi hai, par uss waqt unhe humara sath dena chahiye tha.

Keerti ➡ Sach kahoon toh inn sab ladai-jhagdon ke liye har koi thoda-thoda zimmewar hai.

Naksh ➡ Yahi toh hota hai, chhoti-chhoti baatein kab badi ban jaati hai, hume pata hi nahi chalta.

Keerti ➡ Par papa aur dadi ne jo kiya, woh chhoti baat nahi thi aur naa hi Anmol-Mansi ki galti maafi ke laayak thi.

Naksh ➡ Par saza jitni lambi ho, dukh bhi utna jyada hota hai.

Keerti ➡ Main humesha yahi wish karti hoon ki sab log khush rahein.

Manish and Suhasini overhear their conversation and they vow to clear all the misunderstandings b/w Kaira and Keesh in next seven days. Manish and Suhasini take a leave from there. Naksh-Keerti continue to talk.

Keerti ➡ Waise aapne suna???
Mishti aur Abir wapis aa rahe hain.

Naksh ➡ Ye toh bahut achi khabar hai ❤. Par kya fayda, woh ab bhi gharwalon se naaraz hai.

Keerti ➡ Woh naaraz hai kyunki uske paas naaraz hone ke reasons hain jo ki apni jagah sahi hai.

Naksh ➡ Jo bhi ho, par Mishti meri sabse laadli behen hai. Main jaanta hoon ki woh jyada din naaraz reh nahi payegi.

Keerti ➡ Aur ab toh usey Naman chachu ka sach bhi pata hai, ab woh jaanti hai ki chhoti dadi ne usey Maheshwari house bhej ke bilkul theek kiya.

Naksh ➡ Par Karishma chachi ne yun Mishti ko akela karke bilkul bhi theek nahi kiya.

Keerti ➡ Naksh! Zaroor koi toh baat rahi hogi. Warna koi bhi apne bachhe se door nahi reh paata.

Naksh ➡ Haan! yeh bhi theek hai.

Soon Naksh gets a call from Krish and then Naksh-Keerti immediately leave for cafe.

------------------------------------------------------

City hospital :

Rashmi and Nandini are talking.

Rashmi ➡ Didi! ab aap jaldi theek ho jaiye. Aapke bina Kisi ka bhi mann nahi lagta Akshara Niwas mein. Sabse jyada toh aapko Krish miss karta hai.

Nandini ➡ Krish!! Usne bahut khayal rakha hai mera, har waqt mere paas hi rehta tha. Main kuch bol nahi pati thi par uski baatein sunke mera mann khush ho jaata tha.

Rashmi ➡ Sach! Krish bahut pyara hai. Aur ho bhi kyun na, aakhir Akshara Singhania ka pota hai.

Nandini ➡ Kitni ajib baat hai na! Krish ne kabhi apni dadi ko nahi dekha aur maine kabhi apne pote-potiyon ko. Waise Yash ki koi khabar hai kya?? Kya itne dino mein usne ek baar bhi apni maa ko yaad nahi kiya??

Rashmi ➡ Didi! Hum teeno bhai-behno ne kabhi apne bachhon mein koi fark nhi kiya. Toh fir main Yash ko akela kaise chhod deti. Yash-Rose ko toh 3 saal pehle hi maine wapis bula liya tha. Uss dukhad haadse ki khabar sunkar Yash-Rose toh toot hi gaye thay, par unhe sambhalna meri zimmewari thi.

Nandini ➡ Sach Rashmi! Main unse milna chahti hoon, please usey yaahan bula le.

Rashmi ➡ Main jaanti thi ki aap uske baare mein zaroor poochengi. Isliye maine pehle se hi usey yahaan bula liya hai. Zara gate pe toh dekhiye.

Yeh Rishta Meetha Sa ❤Where stories live. Discover now