Part 71 - Mishti goes into labour!

182 15 2
                                    

Naksh Ananya ko cafe ke andar lekar jaata hai jahaan charon taraf andhera hi andhera hota hai, Naksh bhi mauka dekhte hi chupke se khisak leta hai.

Ananya - Cheeku! Ye tu mujhe kahaan le aaya. Tere cafe ki lights ko kya hua? Cheekuu...... duffer!

Ananya ko realise ho jata hai ki Naksh wahaan nahi hai, usey darr bhi lagne lagta hai.

Sehsa uski aankhon ke saamne ek lambi nukeeli daaton wala insaan aa jata hai jiski aankhein bahar ki taraf latak rahi thi aur chehra khoon se lath-path tha. Ananya cheekhte hue apni aankhein band kar, paon patakne lagti hai.

Thodi der yun hi cheekhne-chillane ke baad jab Ananya ko koi harkat mehsoos nahi hoti toh woh dheere-dheere apni aankhein kholti hai aur cafe ki saari lights ek-baar mein hi jal uthti hai.

Poori cafe fairy lights aur glitters se decorated thi. Ye sab Ananya ko bada hi fascination lagg raha tha. Ananya jaise hi apne kadam aage badhaati hai waise hi cafe mein ek aawaz gunj uthti hai -
"Miss Ananya, kaisi hain aap"?

Ye Abhimanyu ki aawaz thi, jise sunte hi Ananya ke kadam wahi-ke-wahi rukk jaate hain aur uska dil jodon se dhadak uthta hai. Ek pal ko toh Ananya ko apne kaano par vishwas nahi hota.

Cafe mein fir ek aawaz gunjti hai -
"Long time miss Ananya".

Ye sunke Ananya bechain ho idhar-udhar dekhne lagti hai. Uski dhadkanein tejj ho chali thi aur hoti bhi kyun na, itne saalon baad kuch aisa ho raha tha jiski Ananya ne kalpana bhi nahi ki thi.

Khud ko sambhalte hue Ananya rukhi aawaz mein bolti hai -
"Dekh Cheeku baahar aa jaa! Agar ye mazak hai na toh aaj tu bahut pitega mujhse duffer!"

Achanak Ananya ko apne pichhe ek saaya mehsoos hota hai aur woh pichhe mudti hai ki tabhi uski upar bahut se panno ki baarish ho jaati hai.

Pehle toh usey ye ajeeb sa lagta hai lekin fir woh gaur karti hai ki unn saare panno pe Ananya ki hi likhawatein thi. Cafe mein fir ek aawaz gunjti hai -
"Miss Ananya! Ye saare aapke hi works hain jinhe maine ab-takk aapki yaad mein sanjo kar rakhhein thay"!

Ananya ko ye sab ateet ki orr kheech le jaata hai, usey purani baatein yaad aane lagti hain aur uski aankhein chhalak uthti hain. Lekin farsh par girte aansoon ko koi apni hatheliyon mein kaid kar leta hai. Ye koi Abhimanyu hi tha.

Itne saalon baad Abhimanyu ko apne saamne dekh-kar Ananya ko apni aankhon pe vishwas nahi ho raha tha. Woh sann reh jaati hai. Abhimanyu uske aansoon pochhte hue bolta hai -
"Aapke ye aansoo bahut keemti hain miss Ananya,
inhe yunhi barbaad naa kijiye.
Bahut se dukh dekh liye humne,
Ab khushiyon ki fariyaad kijiye".

Ananya kuchh bol nahi paati. Woh ek-jhatke se Abhimanyu ke gale lagg jaati hai, kitne saalon se tadapte Abhimanyu ke dil ko aaj sukoon sa mehsoos hone laga tha. Woh bhi kass ke Ananya ko apni baahon mein bhar leta hai.

Naksh aur Keerti bhi ye saara nazara dekh rahe thay. Ananya aur Abhimanyu ko yun sath dekh-kar unhe beyhad khusi ho rahi thi, dono ke chehre khil uthe thay.

Sehsa Ananya ko kuch realise hota hai aur woh Abhimanyu ko khud se door karte hue rukhi aawaz mein bolti hai -
"Aap wapis kyun aayein hai Abhimanyu sir?"

Abhimanyu (calm hote hue) - Kya mujhe batane ki zaroorat hai miss Ananya?

Ananya - Lekin aap toh kisi aur se pyar karte thay na?

Ananya ke sawaal bilkul jaayaz thay. Isse pehle ki Abhimanyu kuch bolta, Naksh-Keerti bahaar aate hain.

Naksh - Aisa kuch bhi nahi hai Ananya di!

Yeh Rishta Meetha Sa ❤Where stories live. Discover now