Rajvansh house:
Car aur baggi pahuch chuki hai, dhol-nagade wale bahaar khade hain. Meenakshi, Suhasini aur Parul gate par khade hain. Meenakshi ne apne hath mein aarti ki thaal le rakhi hai...baaki log (Tejaswini, Yashpal, Yashoda, Mishbir, Kuku aur babies) baahar khade hain.
Meenakshi - Arey dhol walon! Bajao re....meri maa, mere bachhe, mera pote-poti ghar aayein hain....jab tak kahaa na jaaye, tab tak rukna matt!
Suhasini - Bajao bhai!
Dhol wale shuru ho jaate hain aur Meenakshi naachne lagti hai. Aaj tak kisi ne shayad hi Meenakshi ko naachte hue dekha ho, isliye sab surprise ho jaate hain. Meenakshi ek-ek karke sabko nachaane lagti hai. Khusi ke maahaul mein sab jhoom uthte hain....
Kuch der naachne-gaane ke baad.
Suhasini - Meenu! Grihpravesh ka samay ho gaya hai beta.
Meenakshi - Ji maasi maa!
Parul aarti ki thaal aage badhaati hai. Meenakshi thaal lene ko hoti hai ki tabhi Yashoda bolti hai -
"Ek minute Meenu"!Yashoda ki baat sunke sablog chaunk jaate hain.
Meenakshi - Kya hua buaa?
Yashoda - Tu ye grihpravesh nahi karegii...!
Meenakshi - Kyun buaa?
Yashoda andar jaake aarti ki thaal lete hue bolti hai -
"Kyunki apni Tejo ka grihpravesh main khud karungi. Tu apne bachhon ki aarti utaarna".Meenakshi muskurate hue "haan" mein sir hilaati hai. Fir Yashoda TEJPAL ki aarti utaarti hai aur unhe ghar ke andar laati hai. Suhasini Tejaswini ji ke gale lagg jaati hai.
Tejaswini (uske kaan mein) - Tumne toh yahaan aake hume surprise kar diya Babli.
Suhasini (dheere se) - Aur aapne Yashpal Rajvansh ko maaf karke hume shock de diya jiji!
Suhasini ki aisi baat sunke Tejaswini ji ka muh bann jata hai.
Parul - Ab aap bachhon ki aarti utaariye moti ben.
Meenakshi - Bachhe kya mere akele ke hain?... Aaiye....
Parul muskurati hai lekin ye cheez Tejaswini ko kuchh khaas pasand nahi aati. Meenakshi aur woh milke Mishbir-Kuku aur bachhon ko tilak lagaate hain aur unki aarti utaarte hain. Fir Parul rang wali thaal unki taraf badhaati hai, Mishbir aur Kuku babies ke paon ki chhap leke deewar par lagaate hue andar aate hain..
"Apno ka saaya ho jahaan jaaye
Roshni ke deep jalaye
Rishton se khusiyon ke lamhe churaye
Pyar paayein khil-khilaayein
Jeevan ki dori se hi
Bandha hai sabhi ko yahi
Waqt ke sang chalke
Dil ko behlaata hai"
_____________________________________Midnight:
Aashram:12 bajne mein kuch hi waqt baaki hai. Pandal mein aashram aur baahar ke logon ki bheed jamaa hai, dahi handi ki shuruaat hone wali hai. Kairav reh-rehke uthne ki koshish kar raha hai, Kaira ye cheez dekh leti hai.
Kaira - Bhai! Tum dahi handi play karna chahte ho?
Kairav "haan" mein sir hilaata hai.
Kaira - Toh fir stand up... koshish karte raho mere bhai! Aaj tum lord Krishna bane ho, handi tumhe hi break karni hai.
Kairav firse uthne ki koshish karta hai. Udhar saare log jamaa ho jaate hain. Kartik, Shubham aur Adi bhi upar chadhne lagte hain.... Kaira jaakar Naira ko saari baat batati hai. Naira ye sab sunke khus ho jaati hai aur dono Kairav ke paas aate hain.
YOU ARE READING
Yeh Rishta Meetha Sa ❤
FanfictionThis is my first ever story on wattpad, it's a fan fiction of famous tv show 'Yeh Rishta Kya Kehlata Hai'. This story shows the lives of Naksh, Kaira, Keesh, Mishbir and their families. 1) It's a story of families who are connected to each-other by...