Goenka Villa:
Lawn:
Ek pyara-sa date set-up banaya hua hai, ek table ke sath 2 chairs rakhi hui hain aur candles jal rahein hain. Charon taraf fairy lights aur transparent parde lagein hain aur music ke liye mini speaker rakha hai.
Ek taraf se Naira Ananya ko lekar aati hai aur dusri taraf se Kartik Abhimanyu. Jab Ananya aur Abhimanyu ek-dusre ko dekhte hain toh bas dekhte hi reh jaate hain, jab unki nazar date set-up pe padti hai toh unhe sabkuch samajh aata hai.
Ananya - Nairaaa! Tu mujhe isliye apne ghar lekar aayi thi?
Naira - Happy realisation di!
Kartik - Bahut ho gaya door-door wala romance, kuchh acha hona chahiye na.
Abhimanyu - Thanks buddy!
Naira - Ab apni date enjoy kijiye...
Kartik - The world is yours.
Ananya aur Abhimanyu muskurate hue "haan" mein sir hilaate hain. Naira-Kartik wahaan se chale jaate hain.
Abhimanyu kuchh der Ananya ko bas dekhte rehta hai...
Ananya - Kya hua, aap aise kyun dekh rahein hain?
Abhimanyu - Bade hi dino baad mauka mila hai deedar ka, aankh bhar ke dekh toh loon.
Ananya apni palkein jhukaa leti hai, Abhimanyu bade hi pyar aur haq ke sath uska hath pakad ke table ki taraf le jaata hai. Uski nigahein Ananya pe hi tiki rehti hain.
Kyunki Abhimanyu ki aankhein Ananya pe thi, isliye woh samne rakhaa pathhar dekh nahi pata aur uske kadam lad-khada jaate hain. Woh girne hi wala hota hai lekin Ananya usey bacha leti hai.
Ananya ke khule baalon mein Abhimanyu samaa jata hai aur dono ek-dusre mein kho se jaate hain. Achanak speaker pe gaana bajne lagta hai.
Abhimanyu sidhe hoke Ananya ko samne se pakad leta hai aur uski aankhon se aankhein chaar karte hue dance karne lagta hai.
"Pehla nasha pehla khumaarp
Naya pyar hai, naya intzaar"Pichhe se pakadte hue
"Kar loon main kya apna haal
Ae dil-e-beqaraar, mere dil-e-beqaraar"Ananya ko gol-gol ghumate hue Abhimanyu usey kass ke gale lagaa leta hai. Ananya height mein usse chhoti thi isliye woh unki baahon mein poori tarah se samaa gayi.
Abhimanyu (aah bharte hue) - I love you mrs Ananya; I love you very very much!!
Ananya - I love you more Abhimanyu♥️.
Dono poori tarah se ek-dusre mein kho gaye thay, lawn mein rakhe ek steel sofe pe dono ek-dusre ke upar baahon ka ghera daal ke baith jaate hain aur badlon mein chhupe chand ko nihaarne lagte hain.
Abhimanyu - Miss Ananya! Ye life bhi kitni ajeeb hoti hai na, ek-dusre se itna pyar karne ke bawajood bhi hum ab saath aaye hain.
Ananya - Yahi life hai Abhimanyu, zindagi se bada koi khiladi nahi hota.
Abhimanyu - So true! But I'm glad ki der se hi sahi, lekin mujhe mera pyar mil gaya. Aapko pata hai miss Ananya, aaj main aur Arya park ghoomne gayein, wahaan unhone............
Abhimanyu bolta jaata hai.....
Abhimanyu - Kitni khusi ki baat hai..... hai na miss Ananya?
Ananya koi jawaab nahi deti, Abhimanyu dekhta hai ki Ananya uske kandhe pe hi so chuki hai.
Ananya - Aap sote hue aur bhi pyari lagti hain miss Ananya.
Ananya ke mathe pe apna sir rakh ke Abhimanyu bhi so jaata hai.
_____________________________________
YOU ARE READING
Yeh Rishta Meetha Sa ❤
Fiksi PenggemarThis is my first ever story on wattpad, it's a fan fiction of famous tv show 'Yeh Rishta Kya Kehlata Hai'. This story shows the lives of Naksh, Kaira, Keesh, Mishbir and their families. 1) It's a story of families who are connected to each-other by...