Raat ka waqt hai par Goenkas mandir mein baithe Nandini ke liye prarthna kar rahe hain. Naira ke phone pe nani ka call aata hai.
Naira ➡ Radhe-Krishna nani 🙏🏼 . Kaisi hain aap?
Rajshri ➡ Beta main toh theek hoon par shayad Nandini bitiya theek nahi hai. Varsha se baat hui toh usne bataya ki sablog Nandini ko lekar hospital gaye hain. Nandini ICU mein admitted hai.
Naira ➡ Hospital le gaye? Nani mujhe laga hi tha ki aisa hi kuch hoga. Aise cases mein patient ki jaan ko khatra hota hi hai.
Rajshri ➡ Beta mujhe toh bahut darr lag raha hai. Kahi Nandini ko kuch.........
Naira ➡ Nani aap stress mat lijiye. Sab kuch apne Baal-Gopal par chhod dijiye. Woh sab theek kar denge. Acha! ab main rakhti hoon.
Naira disconnects the call and starts crying. Kartik tries to console her.
Naira ➡ Kartik! gaadi nikalo. Chalo humlog Rajkot chalte hain. Mujhse bua ko dekhe bina raha nahi jayega. Please Kartik, chalo.
Kartik ➡ Haan Naira! Humlog zaroor Rajkot jayenge par pehle tum khud ko sambhalo meri Sherni.
Suhasini ➡ Ho sakta hai tum logon ka wahaan jaana Naksh-Keerti ko pasand na aaye. Isliye tum dono ko abhi wahaan nahi jana chahiye.
Manish supports Suhasini 👍
Swarna ➡ Meri baat suno Naira-Kartik, tumlog wahaan zaroor jao par bas itna khayal rahe ki tumhari wajah se kisi aur ko pareshani naa ho.
They both immediately leave for Rajkot. Suhasini confronts Swarna for letting Kaira go. Swarna defends herself.
Swarna ➡ Maaji! Agar aapne aur Manish ji ne bachhon ke beech kabhi farak nahi kiya hota toh shayad ye dooriyan itni jyada nahi hoti.
Suhasini ➡ Humne koi bhed-bhaw nahi kiya kabhi.
Swarna ➡ Aapne partiality ki hai maaji! Bachhon ka chhodiye, aapne toh mujhme aur Surekha mein bhi partiality ki hai. Par maine kabhi bhi iss baat ko dil pe nahi liya.
Swarna looks at Manish in anger.
Swarna ➡ Bachhon ke beech dooriyon ki wajah se sabko dukh hua hai par sabse jyada taqleef mujhe hui hai. Main toh batt ke reh gayi hoon, kiska sath doon aur kisko galat thehraun? 3 saal ho gaye mujhe Naksh-Keerti aur Gayu-Shubham ko dekhe hue. Sach kahoon toh mera mann karta hai ki chali jaun iss ghar ko chhod ke aur jaan de doon. Ye ghar ab ghar raha hi nahi, ye toh sirf makaan hai, aur ye makaan mujhe kaatne daurta hai. Par kuch bhi ho, aap dono ko apni galti nazar nahi aayegi.
Swarna runs towards her room holding rains in her eyes. Manish and Suhasini take a deep look at each-other.
-----------------------------------------------------
Next day: City Hospital 🏥 RajkotDoctor and a Nurse come out of ICU. Everyone starts asking about Nandini's condition.
Doctor ➡ Please maintain silence.
Keerti ➡ Doctor! bua kaisi hain?
Nurse ➡ Ghabrane ki koi baat nahi hai Mrs Singhania. Patient bilkul theek hai. Sahi waqt par sahi treatment milne ki wajah se woh recover kar payi hain.
Everyone gets happy 😊😊😊.
Naksh ➡ Toh kya ab woh chal sakti hain, bol sakti hain?
Doctor ➡ Of course! Par woh dheere-dheere sab kuch karengi. Woh kaafi kamjor hain abhi.
Naitik ➡ Hum unse mil sakte hain kya?
Nurse ➡ Abhi nahi ✖️. Meeting hours mein aaplog unse mil sakte hain par dhyan rahe ki unhe koi stress na ho.
YOU ARE READING
Yeh Rishta Meetha Sa ❤
FanfictionThis is my first ever story on wattpad, it's a fan fiction of famous tv show 'Yeh Rishta Kya Kehlata Hai'. This story shows the lives of Naksh, Kaira, Keesh, Mishbir and their families. 1) It's a story of families who are connected to each-other by...