Part 99 - Happy Diwali 🪔

196 16 0
                                    

Udaipur
Haveli...:

Haveli mein charo taraf saaman bikhde pade hain... Keerti kitchen ki safai kar rahi hai toh Naksh maa bhavani ke mandir kaa.. Chikki jhoola saaf kar rahi hai toh Naitik ji aangan mein jharu lagaa rahein hain. Krish aur Krishna saari choti-badi cheezon se dhool-mitti hata rahein hain.. Sab mil-jul ke kaam kar rahein hain lekin Rajshekhar ji ko koi kuchh bhi nahi karne de raha hai... Ant mein woh sabko daant-te hue tejj aawaz mein bolte hain -
"Main chala jaaun kya yahaan se ...?"

Unki aawaz sunte hi sab apna-apna kaam chhod kar unke paas aa jate hain...

Naitik - Kya hua bauji?

Naksh - Aap jaane ki baat kyun kar rahein hain dadaji??

Rajshekhar - Arey tum log mujhe kuch karne hi nahi de rahe ho.. moorti ki tarah bitha diya hai.

Krish - Lekin pardadu aap budhe ho..

Rajshekhar - Main utna bhi budha nahi hoon ki koi kaam na kar saku... aashram mein kitna kuchh akele kar leta tha main.

Keerti - Isiliye toh hum chahte hain ki aap aaram karein..

Rajshekhar - Beta mujhe bore hota hai.. agar tumlog kuchh karne nahi doge toh main chala hi jaunga..

Chikki - Arey nahi-nahi bauji... Aapka jo mann ho woh kariye, lekin jaane ki baat nahi kijiye..

Rajshekhar - Toh fir mujhe saari tasveerein utaar ke de do, main unhe saaf karunga..

Sablog "haan" mein sir hilaate hue saare portraits utaar ke unhe de dete hain aur fir apne-apne kaam mein lagg jaate hain.. Rajshekhar ji bhi portraits saaf karne mein magan ho jaate hain...

Chikki - Koi gaana bajao yaar...

Naksh - Haan aise mann nahi lag raha.

Krishna gaana bajati hai ...

"Ik dusre se karte hain pyar hum..
Ik dusre ke liye bekaraar hum
Ik dusre se karte hain pyar hum..
Ik dusre ke liye bekaraar hum"

Sab gungunatey hue kaam mein ramm jaatein hain.

Din beet-te jaate hain aur ek-ek karke saare kamre, sarovar kund, chhat, balcony, corridor yahaan tak baahar bhi saari cheezon ki safai ho jaati hai...

Diwali ka din aa jata hai.... Haveli ek-dum saaf-suthri manohar lag rahi hai.. sarovar kund mein gulab ki pankhuriyaan tair rahi hain, pancchiyon ki cheh-chahahat kaano mein madhur sangeet si jaan padti hai. Maa bhavani ka mandir phoolon se saja hai, unhe nayi saari aur chunni arpan karke pooja ki jaa chuki hai.... Ab bas sham hone ki der hai..
--------------------------------------------------------------

Keesh' Room:

Keerti dressing ke saamne khadi apni saree ke pleats theek kar rahi hoti hai ki tabhi Naksh aata hai.. woh kuch pal Keerti ko madhoshi se dekhne ke baad bolta hai -
"Bahut time ho gaya Keerti ji..."

Keerti pichhe mudke Naksh ke gale mein apni baahon ka haar daalte hue bolti hai -
"Haan... sach mein kuch jyada hi time ho gaya hai".

Naksh (baat badalte hue) - Aapne kya samjhaa Keerti ji...?

Keerti (usey chhodte hue) - Woh...main...

Naksh (mazaak banate hue) - Main toh keh raha tha ki der ho rahi hai....

Naksh thahaake paar ke hasne lagta hai, Keerti ko uski ye harkat pasand nahi aati..

Keerti - Main niche jaa rahi hoon...

Yeh Rishta Meetha Sa ❤Where stories live. Discover now