Part 100 - Guests at haveli

174 10 1
                                    

Next morning:

Haveli:

Ek aadmi darwaze pe toran latkaa raha hota hai tabhi kisi aurat ki aawaz aati hai -
"Theek se sajao poori haveli ko, mhari Chikki ka vyah hai..."

Ye Kalyani ki aawaz thi jise Chikki aakar hug kar leti hai. Sablog aate hain.

Rajshekhar - Ye badhiya hai aapka didi, kal diwali thi toh nahi aayin... Aaj aayin hain...

Kalyani - Kaveri ko akkele chhod ke kaise aati Raj banna...

Devyani - Lekin Dr. Advait toh unke sath thay hi..

Kalyani - Haan lekin..

Naitik - Lekin bua ne toh hume paraya hi kar diya hai...

Naksh - Aashram kya gayin, ghar ka rasta hi bhool gayin.

Kalyani (Muskan ko dekhte hue) - Mhare honne na honne se ke fark pade hai.. je Muskan aur wa Mishti.. wahi sab toh thare apne hain..

Naitik (rukhi aawaz mein) - Ye acha hai... sabki galatfehmiyaan apni-apni, lekin paraya humne sabko kar diya hai. Fir chahe woh choti maa ho ya fir bua..

Naitik Devyani aur Kalyani ko dekhne lagte hain, aise achanak unke hav-bhav badalne se sab hairaan ho gayein..

Naitik - Sare fasaad ki jadd main hi hoon na, toh theek hai main mar hi ....

Ab woh aage kuchh bolte usse pehle sabke muh se nikalta hai -
"Bass ....."

Keerti - Papa aap ye kya bol rahein hain...

Chikki - Aur kyun...

Kalyani (Naitik ji ke kaan khich kar) - Kyunki isey kabse mhara ilaaz na mila naa...

Devyani - Mujhe maaf kar do Naitik, maine tumhe kitna galat samjhaa.. kitni baatein sunaai.

Naitik kuchh pal yun hi muh banayein khade kabhi Devyani ko toh kabhi Kalyani ko dekhte rehte hain.

Kalyani - Kya muh latkaye khada hai, ab maan bhi jaa.

Naitik - Theek hai! Lekin...

Devyani - Lekin ab se humari wajah se koi tension nahi hogi..

Naitik - Pakka...?

Kalyani - Waada..😊

Ye sunkar Naitik ji muskurane lagte hain. Devyani aur Kalyani dono taraf se unke gale lagg jaati hain.

Chikki - Ye hui na baat..!

Keerti - Hmm!

Kisi ki aawaz aati hai - "Namaste sabko.."

Sablog dekhte hain ki saamne hi Yuvraj apni muskan liye khada hai.. Chikki kankhiyon se usey dekhti hai.

Naitik - Aao-Aao...

Yuvraj - I'm really sorry bhaiyaa, I know mujhe kal hi aana tha lekin kal mera ek show tha diwali ko leke, iss wajah se...

Yuvraj ek saans mein bolta jaa raha tha... Naitik ji usey rokte hue bolte hain -
"Bas! Bas saans toh le lo".

Keerti - It's fine...

Yuvraj chup ho jaata hai.

Kalyani (Yuvraj ko dekhte hue) - Kon hai je chhora, kahaan se aa tapka hai..?

Rajshekhar - Didi yahi toh hain humare hone wale jamai sa...

Ye sunkar Kalyani apni hi baat par jhenp jaati hai..

Yeh Rishta Meetha Sa ❤Where stories live. Discover now