Chapter Fifty Seven

1K 37 0
                                    

"Aaj toh bohot thak gaye, Anjali cribbed as she fell down backwards on the bed after a long day at the hospital, the night before the concert. They had a lot to do today because of last minute checks for the concert. Also, it had been Armaan's birthday yesterday and they'd frolicked around the hospital the entire time, not really working as much, so they had to make up for that too.


"Haan, yaar, Anjy. Yeh Gabbar na, aajkal bohot torture karti hai, Muskaan agreed, lying down beside her. The girls were sleeping over at the Guptas tonight.


"Yaar, yeh Nikki kahaan reh gayi? Muskaan asked aloud after a few minutes. "Kitna khayegi? Hua nahi kya uska abhi tak? Bhukkad kahin ki! Nikki had demanded food as soon as the girls had reached home. The others who'd been too tired to sit and eat at the time had retired to Anjali's room.


"Oh, hello, Muskaan! Tu toh rehne hi de! Nikki replied as she entered the room with a plate full of pakoras. "Khud kya kam hai jo mujhe bol rahi hai? Aur waise bhi, mere paas toh excuse hai. Pregnant hu main. Tu kyu hamesha itna khati hai? Bhukkad? She asked.


Muskaan looked scandalized at that as Riddhima and Anjali laughed. "Oyye, Nikki! Tuna... Tu... Tu rehne de. Dimaag kharab ho gaya hai tera. Aur main waise bhi bol rahi hu. Mere khaane pe nazar mat laga. Samjhi? She answered.


This caused the girls to laugh even louder.


"Guys! Yeh sab chodo. Main soch rahi thi, I think hum sabko na, vacation pe jaana chahiye, Anjy announced. "Waise bhi jabse yeh concert ki preparations chalu hui hai, kaam itna hai ki humein toh relax hi karne nahi milta. Pehle hospital mein duties, patients, tests, paperwork. Fir rehearsals aur concert prep. I think we need a break.


"Haan, Anjy! Yeh bilkul sahi kaha tumne, Nikki agreed. "I think humein jaana chahiye.


"Baat toh sahi hai. Yaar, aajkal toh duties bhi itni pakau hoti haina, kya bolu ab main? Muskaan seconded.


"Lekin, Di, Dr. Keerti hum sabko ek saath leave pe jaane degi kya? Riddhima asked, as always, the voice of reason. "Agar hum saare ek saath chale jaayenge toh hospital mein kaam kitna badh jaayega, she said.


"Ridzy! Kisi aur ka kaam badhe toh badhe! Humein kya? Muskaan asked. "Humein toh humaari chutti se matlab hai!


"Muski! Tu aisa kaise bol rahi hai? Hospital ke baake doctors humaare colleagues hain. Hum apna saara kaam unpe kaise dump kar sakte hai? Aur waise bhi, main toh yeh bol rahi hu, ki mujhe nahi lagta ki Dr. Keerti humein jaane dengi, Riddhima explained.


"Arre, kyu nahi jaane dengi? Unhe pata haina, ki humne kitni mehnat ki hai? Humein bhi toh break chahiye. Aur waise bhi, humaare yeh so called colleagues' mein se koi humaari concert mein madad kar raha hai kya? Ek performance prepare karne bola, usmein toh sabne itne naatak kiye. Aur ab unka bhi choreography wagerah humein hi set karna pad raha hai. Toh isse humaara kaam kitna badh gaya. Unhone socha kya yeh sab? Anjy ranted.

I'll Love You Longer Than Foreverजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें