Chapter Sixty Four

908 38 1
                                    

"Oops," Armaan laughed. "Aisa nahi karna chahiye tha na?" He asked Nikki.

"Armaan," Nikki warned. "Thoda zyada ho gaya tha."

"I guess," Armaan agreed. "Main dekhta hu." Saying so, he rushed behind Rahul.

"Wow, Sonia," Neha commented. "Rahul admitted he liked you. Bada stud hai yaar. I think tum dono saath mein bohot achche lagoge."

Sonia nodded in agreement, smiling happily. Her and Rahul would indeed make a good pair. Sure, she hadn't given him any bhaav in college, but then, he'd been such a champu. She was having a hard time believing that this handsome, dashing man standing in front of her now was the same nervous, fidgety, average boy she knew in college. She wouldn't have been caught dead with him then. But now, she wouldn't mind dating him. At all. In fact, she was sure that she'd love it.

"Excuse me," Riddhima interrupted their chatter.

"What?" Sonia asked rudely. She was getting fed up of this girl.

"Stay away from Rahul," Riddhima ordered.

"Right," Sonia replied, her voice sarcastic. "Tumne kaha aur maine maan liya. Sure."

"Listen, Miss Sonia Whatever. Tumhaare liye achcha yahi hoga ki tum Rahul mein interest na lo. Tum jaise fake logon ki uske life mein koi jagah nahi hai," Riddhima warned.

"Fake? How dare you call me fake!" Sonia thundered.

"Fake ho toh fake hi bolungi na. I know all about you. Tum jaanti thi ki Rahul tumhe college mein kitna pasand karta tha. Aur iss baat ka tumne bohot faayda bhi uthaya. Homework, projects, sab usse karwati thi. Khudke bhi aur apne friends ke bhi. Lekin uske aage kabhi usse baat bhi nahi ki. Use kiya usse. Lekin ab, jab tumne dekha ki woh kitna alag hai toh tum chaahti ho ki woh tumhe date kare. Kyu? Kyuki ab woh champu' nahi hai? Ab bhi, tum Rahul ke baare mein jaanne mein interested nahi ho. Tum bas yeh soch rahi ho ki Rahul itna good looking hai, toh agar tum aise ladke ko date karogi toh tumhaare liye hi faayda hai. Isse fake nahi toh kya bolu?" Riddhima asked.

"Look, tumhe beech mein padne ki zaroorat nahi hai," Sonia replied. "Main Rahul ko kisi bhi reason se date karna chahu, woh mere aur uske beech ki baat hai. Tumhe itna interest lene ki koi zaroorat nahi hai."

"Rahul mera sabse achcha dost hai," Riddhima said. "Uski life mein interest lena haq hai mera. Aur beech mein main nahi, tum aa rahi ho. So, stay away."

"Hah," Sonia scoffed. "Tumhe lagta hai, ki Rahul mujhe chodke tumhe choose karega? Wow! Maana ki tum itni bhi badsoorat nahi ho, in fact, you're pretty. Lekin, tumhaara aur mera koi comparison nahi hai. I'm sure Rahul bhi yeh jaanta hai."

"Haan, I'm sure woh jaanta hai. Ki uske liye better kaun hai. Aur waise bhi, maine apni baat toh ki hi nahi. Rahul mera dost hai. Dost. Matlab toh samajhti ho na. Aur waise bhi, tum kitne bhi haat pair maar lo, Rahul kabhi nahi maanega," Riddhima stated.

"Kyu?" Neha asked, interested.

"Kyuki Rahul kisise pyaar karta hai," Riddhima said simply, looking meaningfully at Muskaan, who immediately looked elsewhere, not wanting to make eye contact with Riddhima.

"Oh," Sonia replied. "Isme kaunsi badi baat hai. Aaj karta hai, kal nahi karega."

Muskaan looked really angry at that. Nikki placed a hand on her shoulder to calm her down.

Riddhima laughed. "Yahi toh problem hai. Rahul usse kabhi nahi chodega. Tum nahi jaanti woh usse kitne pyaar karta hai, kya kar sakta hai uske liye. Woh ladki, woh ladki Rahul ki zindagi hai. Aur un dono ko, koi nahi alag kar sakta."

I'll Love You Longer Than Foreverजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें