Chapter Seventy One

1.2K 42 19
                                    

"DAD!" Armaan shouted.

"Arre, what Dad? Kabse wait kar raha hu main, ki ab karega, ab karega, lekin tu toh kuch karta hi nahi," Billy complained.

"Dad... Main karunga. Promise," Armaan answered.

"Haan, theek hai. Par kab? Tujhe pata hai, jab Riddhi ka phone aaya tha, ki tu waapas Mumbai aa gaya hai aur tum dono ke beech mein sab theek hai, mujhe laga tha ki woh us waqt hi mujhse kahegi, Dad, hum bas ab shaadi kar rahe hain toh aap aur Mom aa jao. Par, almost 4 mahine ho gaye hain, Armaan. Ab bas. Tu Riddhima ko ghar le aa," Billy lectured.

"Dad, humaari iss baare mein baat hui thi na? Maine aapko sab bataya tha. Aur kisiko koi problem nahi hai agar hum abhi shaadi nahi kare. Riddhima ko nahi aur Maa aur Papa ko bhi nahi," Armaan replied.

"Woh Shanky paagal ho gaya hai. Usko toh bahaana mil gaya na, apni beti ko apne paas aur time rakhne ka. Toh woh kyu tujhe manaa karega?" Billy asked.

"Dad, aap kaise bol rahe hai! Aisa kuch nahi hai," Armaan replied.

"Mujhe kuch nahi pata. Tu bas Riddhima ko ghar le aa," Billy commanded.

"Mom, aap Dad ko kuch bolengi?" Armaan asked.

Ananya nodded, making Armaan sigh in relief. At least his mother understood.

"Billy, tum bilkul sahi keh rahe ho. Ab mujhse aur wait nahi hota," she said. Turning to Armaan, she added, "Tu Riddhima se baat kar, warna main aur Billy Shashank Bhaisaab aur Padma Bhabhi se baat karenge. Choice teri hai."

Armaan was at a loss of words. Really. He didn't know his parents were so desperate to get him married to Riddhima.

"Aise aankhen phaadke kya dekh raha hai? Theek keh rahi hai woh. Ab tu toh kuch karne se raha. Toh humein hi karna padega na," Billy spoke.

Seeing Armaan's dumbfounded state, Rahul decided to help him out.

"Aap... Aap log kyu chinta kar rahe hai? Armaan karne hi wala hai Riddhu ko propose. Ring... Ring bhi le aaya hai woh," he told Billy and Ananya.

"WHAT?!" Everybody in the room shouted.

"Shhh!!" Armaan shushed them. "Riddhima kitchen mein hi hai. Agar aap log chilaayenge nahi toh achcha hoga."

"Sorry!" They whispered.

"Armaan... Tumne ring leli?" Anjali asked.

Armaan nodded. "Haan."

"Kab? Kisiko kuch bataya bhi nahi!" Atul exclaimed, feeling extremely betrayed.

"Ring liye toh janaab ko almost 2 mahine ho gaye. Jab yeh aur Riddhu Paris gaye the, conference ke waqt? Tabhi hi leli thi isne," Rahul answered.

I'll Love You Longer Than Foreverजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें