At aarohi's house
Aarohi taiyar ho chuki thi.... Aur bahar ladke Wale bhi aa chuke Thai....
Papa:- aayiye aayiye na sir..... Baithiye....aap bhi aayiye lakshya ji....
Aarohi ke papa ke manager apne bete aur apni biwi ke sath aaya tha.... Teeno waha hall mein baith jate hai tabhi neema bhi waha aajati hai Pani aur baki sab lekar....
Neema:- namaste ji....
Neema ki namaste lene ke baad lakshay ki mummy neema ko waha baithne ke liye kehti hai.... Dono pariwar ke beech baatein chal Rahi thi, iss beech neema ka dhayan bar bar lakshay pr hi Jaa Raha tha....
Lakshay ki mummy:- waise toh kamiya sabke ander hoti hai kyu neema ji? Pr humara lakshay apki beti ka pura dhayan rakhega ye humari guarantee hai....
Lakshay ki mummy ki baat sunkar neema forcefully muskura deti hai aur aarohi ke papa toh thai hi khush
Neema:- waise lakshay beta krta kya hai? Nhi mera matlab hai ab ladki ki shadi krni hai toh pata karna padta hai na ki kya job hai ladka krta kya hai..... Aap smjh rahi hai na ek maa ki chinta?
Lakshay ki mummy:- arey ji bilkul bilkul aap logo ko jo puchhna hai be jhijhak puchhiye....
Lakshay ek baar neema ko uper se neeche Tak dekhta hai uske baad bolta hai....
Lakshay:- waise aunty? Nhi sasu maa ji mai kuch nhi krta.... Krna bhi kyu hai? Mere papa itna kama rahe hai kiske liye? Ofcourse mere liye hi na.... Papa ne itni sari properties mere naam ki hai ki unke rent se hi bohot Paisa aa jata hai....
Neema ko lakshay ka yun dekhna bilkul pasand nhi aaya aur uper uska ye jawab vo sunkar toh neema ka dimag khrab hi hogya! Aaj ke zamane mein kon apne baap ki kamai pr nirbhar rehta hai? Ye toh kayero wali baat hogyi .... Khud jab kuch na kar pao toh papa ki kamai hi nazar aati hai....
Lakshay:- waise sasur ji meri hone wali biwi ko toh bulaiye...
Papa:- arey arey bilkul beta....neema jao aarohi beta ko yaha le aao ...
Neema smjh gyi thi akhir kar lakshay kis type ka ladka hai....pr vo filhal sabke samne kuch nhi kar sakti isslie vo aarohi ko lene uske kamre ki taraf aajati hai...
Kuch hi der mein aarohi waha aajati hai.... Aarohi apni mummy ki side mein baith jati hai aarohi neeche hi dekh Rahi hoti hai pr bar bar usse aise lag raha tha ki koi usse ghur raha hai.... Toh jaise hi aarohi uss nazar ki taraf apni Nazar uthati hai toh vo ghurne wala insan aur koi nhi balki lakshay hi tha.... Ghurna alag baat hai pr jis tarike se lakshay usse Ghur raha tha usse aarohi bohot uncomfortable ho jaati hai ...
Lakshay ke papa:- beta aarohi kya kya aata hai tumhe? Mera matlab hai ki ab job wagerah toh hum krne nhi denge aur jab job krni nhi hai toh aage ki padhai ki bhi kya jarurat kyu hai na? Isslie ghar ke kaamo mein kya kya kar leti ho?
Ye baat sunte hi aarohi ko bada ajeeb lagta hai bhala aajkal ke jamane mein koi aisi soch kaise rakh skta hai? Vo in logo se bilkul bhi baat nhi krna chahti thi pr vo kar bhi kya sakti thi....
Tabhi aarohi ke papa bol padte hai ..
Papa:- arey meri beti har chiz mein bohot achi hai chahe vo padhai ho ya Ghar ke kaam.... Har chiz mein sbse aage... Khana toh itna tasty banati hai ki aap log bhi khakar khush ho jayenge....
L/mummy:- chalo ye toh badhiya hogya.....
L/papa:- beta lakshay tujhe kuch puchhna hai aarohi se?
Lakshay:- hn pr akele mein....
Lakshay aarohi ke sath dusre kamre mein chala jata hai.... Waha lakshay aarohi ko aise shant dekh kar bolta hai...
Lakshay:- ye shant rehne ka drama kyu? Akhir kar end mein sab kuch hona toh mere sath hi hai na aarohi ji... 😏 Tum itni sunder ho ki ye 10 din ka wait krna bohot hi mushkil hoga mere liye....
YOU ARE READING
ISHQBAAZ
FanfictionTahir (taehyung) a cold ceo of Kapoor industry.... Who is ruthless and cruel for whole world.....but...for his wife he is just.... Tahir:- AAJ SE YE KAMRA OR YE GHAR TUMHARA.... OR TUM HUMARI.... TAHIR:- TUM MERI HO YN... OR TAHIR KAPOOR APNA HAKK L...