Teri nazron mein hain tere sapne... tere sapno mein hai naarazi

2.3K 349 332
                                    

Title is the song 'Agar tum saath ho' from movie 'Tamasha'

Nanu got up in the middle of the night to refill his water jug. Going back to his room, he noticed the thin streak of light under Sameer's door. After contemplating for a while, he knocked.

"Arre nanu aap? Kya hua? Tabiyat toh theek hai na aapki? Itni raat tak kyon jaag rahe hain?" Sameer's forehead creased into lines of concern when he opened the door.

Nanu let out a sigh, "Yehi fiqr hai beta, jo mujhe yahan le aayi."

"Matlab?" Sameer gave a perplexed look.

"Yahin khade rehkar bolun ya andar aane dega?" Nanu quirked up a brow.

"Aaiye na. Aap aise puch kyon rahe hain?" Sameer tugged at his arm, and brought him inside.

"Ab bataiye kya hua." He asked after nanu was comfortably seated on the couch.

"Tu bhi baith. Aaram se do baatein karni hain." Nanu patted next to him.

Sameer settled down on the floor near nanu's feet, his legs crossed under him.

Nanu placed a hand on his head, a knowing smile on his face. Since he was a kid, Sameer would sit like this when he was troubled over something.

"Ab tu bata kya baat hai. Maine toh socha tha tu khushi se naach raha hoga... aakhir kal tera sapna poora hone jaa raha hai." Nanu asked gently.

When he looked up, Nanu saw the regret in his eyes, "I'm sorry, nanu. Main jaanta hun aapko aaj bohot dukh hua maine aapse yeh sab chupaya. Main aisa nahi karna chahta tha lekin..." He bit his lip, "sab kuch itni achanak hua ki mujhe samajh hi nahi aaya aapko shaadi ke baare mein kaise bataun."

Nanu let out an exhale, "Thoda jhatka toh laga tha, Sameer. Lekin phir socha, kuch na kuch kaaran zarur hoga, kyonki mera beta jaan ke kisi ka dil nahi dukha sakta. Yeh tum dono ke beech ki baat hai isliye main puchunga nahi, lekin itna zarur kahunga ki teri maa ko bohot dukh hua. Woh bhi apni jagah theek hai. Tujhe pata hi hai teri shaadi ka sapna woh kabse dekh rahi hai."

"Haan nanu jaanta hun. Main khud chahta tha hamari shaadi aise hi ho jaise sabki hoti hai. Saare sheher ko pata chale ki Naina meri dulhan hai. Lekin Naina shaadi ke liye taiyar hi nahi thi. Woh toh..." Sameer paused, the dilemma back in his mind.

Nanu narrowed his eyes, "Tu usse majboor kar raha hai? Uski marzi ke bina?"

"Not at all, nanu." Sameer shook his head vehemently, "Main jaan gaya hun woh mujhe accept kar chuki hai. Lekin..." He steeled himself. He had done the mistake of keeping things hidden from the only person who had guided him always, he wouldn't do it again, "Naina darti hai, nanu. Usse lagta hai uske kal ke baare mein jaan ke mera pyar badal jayega."

"Toh kya tu ab tak nahi jaanta? Usne kuch nahi bataya?" Nanu asked in surprise.

Sameer lowered his head, "Naina ne toh koshish ki thi par maine usse kuch kehne nahi diya." When he looked up, the question he expected was in nanu's eyes. He continued, "Nanu, jab pehli baar mujhe Naina ke parents ke baare mein pata chala tha, mujhe laga bechari ke saath kitna bura hua hai. Aur usne woh feeling meri aankhon mein dekh li thi. Usse laga jo main usse help karne ki koshish karta hun woh... woh pity hai. I do it because I feel sorry for her. And she resented that."

"Samajh sakta hun, beta. Aisa hota hai. Ek toh apna dukh itna bada hota hai, upar se har aane wala agar taras khake dekhta hai toh takleef ke saath saath gussa bhi aata hai. Jab Gayatri ke jaane ke baad koi mujhe kehta tha ki aapko ab Vishakha ke liye baap ke saath saath maa bhi banna hai, toh dukh ke mahaul mein bhi khoon khaul jaata tha mera. Dil karta tha chilla ke kahun ki Vishakha ko kaise paalna hai yeh main jaanta hun, beti hai meri, kisi ko sikhane ki zarurat nahi hai. Jab mujhe aisa lagta tha, Sameer, toh Naina toh abhi bachhi hai. Pata nahi woh kabse sachhi jhooti hamdardi aur sab jaan pehchan walon ki baatein sun rahi hogi ki usse apni zindagi kaise jeeni chahiye. Yeh natural hai, beta. Aisi feeling aana ki sab aapko incapable samajhte hain, aapko sikhana chahte hain aur dheere dheere yeh gussa har uss nazar ke liye mann mein aa jaata hai jo aap pe taras dikhati hai."

Na Jaane Kyon...जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें