Hissa hai tu ab toh mere dil ke jazbaaton ka

2.1K 343 204
                                    

Title is the song 'Ik tu hi yaar mera' from movie 'Pati Patni Aur Woh'

Next morning, Sameer went to meet nanu after getting dressed for office.

"Ab aap kaise hain? Koi pain toh nahi hai na?" He was glad to find him sitting upright, reading a newspaper.

"Dekh le, tere saamne bhala changa baitha hun." Putting the paper aside, nanu spread his arms.

Sameer smiled, "Bas mujhe apne nanu ko aise hi dekhna hai. Jaldi se bilkul fit hoke office join kijiye. Aapko miss kar raha hun."

Nanu quirked up a brow, "Achha? Mujhe miss kar raha hai? Ab toh car mein bhi Naina, office mein bhi Naina ke hi room mein kursi laga li hogi tune... mujhe miss karne ka time kab mila?"

Sameer pursed his lips, "Woh nanu..." And he went on to explain how Naina wanted things to remain unchanged.

"Oh!" Nanu leaned back, staring at the ceiling for a while before speaking, "Sameer, woh bhi apni jagah sahi hai. Shaadi ko chupaane ka kaaran ya toh gharwale hote hain ya phir kuch aisa jispe log ungliyan uthaye. Ab tumhare case mein pehla option toh hai nahi. Naina zarur doosri baat se ghabra rahi hai. Beta, I think humein jaldi hi poore tareeke se tum dono ki shaadi karani chahiye. Tujhe pata hai main logon ki baton ki parwah nahi karta, lekin Naina aur teri image ke liye yeh zaruri hai. Jo respect usse milna chahiye, woh zabardasti ka na ho, isliye duniya ke aage shaadi karna ek necessity hai."

Sameer heartily accepted, "Bas aap ek baar fit ho jaiye, nanu, hum sab kuch organise kar lenge."

He winked at his grandson, "Haan haan pata hai. Tera utavalapan chupa nahi hai mujhse."

With a faint blush, Sameer lowered his head, "Main toh bas..."

"Shaadi mein bhi aise dulhan ki tarah sharmayega kya? Arre yaar, seena thok ke bol, haan nanu, mujhse intezar nahi ho raha Naina se phir se shaadi karne ka." Nanu roared in laughter.

Naina, who had just entered the room, gave him a concerned look, "Nanu, aap itni zor se kyon hans rahe hain? Aapko rest karna chahiye. Zyada stressful baat ke saath saath zyada khushi bhi avoid karni chahiye." She turned to Sameer, "Aisa kya keh diya aapne jo nanu itne khush ho gaye."

"Uh... main... maine bas... nahi, maine kuch nahi kaha... nanu, maine thodi kuch bola aapko. Haina?" Sameer stood up, fumbling for words at her sudden appearance.

"Haan beta, Sameer toh mujhe shaadi... mera matlab... contract ki details de raha tha... ki woh kitna utavala hai iss naye contract ke liye." Nanu stopped laughing, but a mischievous smile didn't leave his face.

Sameer gaped at him, before quickly peering at Naina, who was already looking at him.

Nanu riveted his gaze between the two of them, as their eyes remained locked.

When they appeared to have forgotten his presence, he cleared his throat noisily, making them sharply turn their faces to him.

"Woh gale mein kuch atak gaya. Sameer, zara paani laana, yahan khatam ho gaya hai." Nanu extended his empty bottle to Sameer.

Once he was gone, nanu looked at Naina affectionately, "Main bilkul theek hun. Lekin main isse bhi zyada theek ho jaunga jab tum dono ki shaadi dekh lunga."

"Jee nanu?" Naina was startled.

"Haan bhai, tum dono ki doosri shaadi karwani hai na. Main soch raha tha jitni jaldi ho jaaye utna achha hai." There was a new excitement in his voice.

Na Jaane Kyon...जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें